Pyare Watan Laaye Hum
Jaan-o-Dil Tere Liye
Pyare Watan Laaye Hum
Jan-o-Dil Tere Liye
Jab bhi Kabhi Chahay ga Tu
Tujh pe Fida ho Jaayen ge
Pyare Watan Laaye Hum
Jan-o-Dil Tere Liye
Sab se Bara hai Quaid Hamara
Jis ne Diya hai Yeh Mulk Hum ko
Hum ko Hamari Manzil Dikhayee
Rehbar Bana kar Shah-e-Umam(SaW) ko
Hum aur Hamari Aainda Naslen
Choomen gi Uske Naqsh-e-Qadam ko
Sab se Bara hai Quaid Hamara
Jis ne Diya hai Yeh Mulk Hum ko
Hum ko Hamari Manzil Dikhayee
Rehbar Bana kar Shah-e-Umam(SaW) ko
Hum aur Hamari Aainda Naslen
Choomen gi Uske Naqsh-e-Qadam ko
Apnaayen ge Uska Amal
Hum Behr-o-Bar pe Chhaayen ge
Pyare Watan Laaye Hum
Jaan-o-Dil Tere Liye
Hum hain Sajeelay Funkaar Tere
Hai Fun Hamara Inam Tera
Apna Qalam ho ya Saaz koi
Le ga Adab se Woh Naam Tera
Jitnay Hamaray hain Shahparay
Detay hain Saray Pegham Tera
Hum hain Sajeelay Funkaar Tere
Hai Fun Hamara Inam Tera
Apna Qalam ho ya Saaz koi
Le ga Adab se Woh Naam Tera
Jitnay Hamaray hain Shahparay
Detay hain Saray Pegham Tera
Hum ko Mili Chahat Teri
Tere hi Naghmay Gaayen ge
Pyare Watan Laaye Hum
Jan-o-Dil Tere Liye
Jab bhi Kabhi Chahay ga Tu
Tujh pe Fida ho Jaayen ge
Pyare Watan Laaye Hum
Jan-o-Dil Tere Liye
Alaap : Nusrat Fateh Ali Khan, Noor Jehan, Reshman & Arif Lohar
Poet : Ahmed Nadeem Qasmi
Released : 1995
Pakistan Televiosn Production