Awais Poetry
 

Last Patriotic Song of Ahmed Rushdi ( Aanay Walo! Suno....Mere Pyaro! Suno-Lyrics )

Aanay Walo! Suno Mere Pyaro! Suno
Hum na hon ge Magar
Hogi Rooh-e-Safar
Aanay Walo! Suno Mere Pyaro! Suno
Hum na hon ge Magar
Hogi Rooh-e-Safar
Yeh Dilon ki Sada
Hai Hamari Dua
Yeh Hamara Watan Roshni ka Chaman
Lehlahata Rahay Jagmagata Rahay
Aanay Walo! Suno Mere Pyaro! Suno
Hum na hon ge Magar
Hogi Rooh-e-Safar
Mulk Azad hai par Hamain Yaad hai
Khoo'n Chataa'n Khoo'n Chataa'n Zulm ki Daasta'n
Kitni Qurbaniyan de kar haasil hui
Yeh Watan ki Zameen Ab jo Manzil hui
Mere Pyaro! Isay Tum Bhulana Nahi
Apni Manzil se Tum Duur Jana Nahi
Is se Chahat Karo Sab ki Khidmat Karo
Hum Na hon ge Magar
Hogi Rooh-e-Safar
Aanay Walo! Suno Mere Pyaro! Suno
Hum na hon ge Magar
Hogi Rooh-e-Safar
Shaair is ke liye Shair Kehtay Rahay
Dukh Uthaatay Rahay Dard Sehtay rahay
Apna Khoon-e-Jigar Sarf Karte Rahay
Is ki Tasveer mai Rang Bhartay Rahay
In ke Afkaar mai Subh ki Roshni
In ke Khwaabon se hai Rooh ki Zindagi
Mulk ko Surkh Ru Dosto! Karke Chalo
Hum Na hon ge Magar
Hogi Rooh-e-Safar
Aanay Walo! Suno Mere Pyaro! Suno
Hum na hon ge Magar
Hogi Rooh-e-Safar
Jo Mila Hum ko Fan
Karke Nazr-e-Watan
Apni Awaz se Rus Bharay Saaz se
Hai Dilon ko Khushi Aankh ko Roshni
Shadman ho gye Har Taraf Zindagi
Dekho Jab tak Jiye Hum Isi ke Liye
Jaan Lutatay rahay Geet Gatay Rahay
Is se Ulfat Karo Tum bhi Khidmat Karo
Hum Na hon ge Magar
Hogi Rooh-e-Safar
Aanay Walo! Suno Mere Pyaro! Suno
Hum na hon ge Magar
Hogi Rooh-e-Safar
Jhoomti Daaliyan Dhaan ki Baaliyan
Keh rahi hain Yahi Hongi Khush Haaliyan
Apne Mehnat Kashon ki Yeh Tasveer hain
In ke Azm-o-Amal ki Yeh Tehreer hain
In ki Himmat ki Tum Dad dena Sada
In ki Azmat ko Tum Yaad Rakhna Sada
Tum bhi mehnat Karo Tum bhi Aagay Barho
Hum Na hon ge Magar
Hogi Rooh-e-Safar
Aanay Walo! Suno Mere Pyaro! Suno
Hum na hon ge Magar
Hogi Rooh-e-Safar
Aanay Walo! Suno Mere Pyaro! Suno
Hum na hon ge Magar
Hogi Rooh-e-Safar
Aanay Walo! Suno Mere Pyaro! Suno
Hum na hon ge Magar
Hogi Rooh-e-Safar
Yeh Dilon ki Sada
Hai Hamari Dua
Yeh Hamara Watan Roshni ka Chaman
Lehlahata Rahay Jagmagata Rahay
Aanay Walo! Suno Mere Pyaro! Suno
Hum na hon ge Magar
Hogi Rooh-e-Safar


Singer                    : Ahmed Rushdi
Poet                      : ?
Music                    : Ahmed Rushdi
Released               : 1982
Radio Pakistan Karachi