Awais Poetry
 

Sab Kuch Hain Hum Duniya Walo!-Patriotic Song of Taj Multani ( Lyrics & Download )


Hum Baloch,Punjabi,Sindhi,Bangali,Makrani hain
Sab Kuch hain Aye Duniya Walo! Pehle Pakistani hain
Pakistani hain ha ha Pakistani hain
Pakistani hain ho ho Pakistani hain
Hum Baloch Punjabi Sindhi Bangali Makrani hain
Aik hi Manzil hai Hum Sab ki 
Raahi Aik hi Rastay ke
Rang Barangay Phool hain Hum Sab
Jese Aik Guldastay ke
Hum Pathan,Hazaray,Memon
Bohray,Agha Khani hain
Sab Kuch hain Aye Duniya Walo! Pehle Pakistani hain
Pakistani hain ha ha Pakistani hain
Pakistani hain ho ho Pakistani hain
Hum Baloch Punjabi Sindhi Bangali Makrani hain
Aik hi Jannat ke Nazaray
Aik Falak ke Taaray Hum
Hum ko Des hai Apna Pyara
Aur Is Des ke Pyare Hum
Hum ne Pakistan Banaya
Hum Is Des ke Baani hain
Sab Kuch hain Aye Duniya Walo! Pehle Pakistani hain
Pakistani hain ho ho Pakistani hain
Hum Baloch Punjabi Sindhi Bangali Makrani hain
Aao Apne Des ki Khaatir 
Tan,Daulat Qurban Karen
Duniya ke Sab Deson mai
Ooncha Is ka Naam Karen
Hum Abbas Dilawar hain
Hum Ibn-e-Qasim Saani hain
Hum Ibn-e-Qasim Saani hain
Sab Kuch hain Aye Duniya Walo! Pehle Pakistani hain
Pakistani hain ha ha Pakistani hain
Pakistani hain ho ho Pakistani hain
Hum Baloch Punjabi Sindhi Bangali Makrani hain
Sab Kuch hain Aye Duniya Walo! Pehle Pakistani hain
Pakistani hain ho ho Pakistani hain
Hum Baloch Punjabi Sindhi Bangali Makrani hain


Singer                  : Taj Multani & Chorus
Poet                     : ?
Film                     : Barhay Chalo ( Un Released 1966 )
Song Released     : 1967
Radio Pakistan Karachi