Awais Poetry
 

Kabhi Bhool Kar Na Aana Meri Sarhadon Ki Janib ( Jangi Tarana 1965-Lyrics )

Kabhi Bhool kar Na Aana Meri Sarhadon ki Janib
Meri Sarhadon ki Jaanib Kabhi Bhool kar Na Aana
Bari Pak Sarzamee'n hai 
Yahan Santari Kharay hain
Koi Dushmanon se Keh de 
Yahan Ghaznavi(Ra) Kharay hain
Yahan Badr ka hai Alam 
Yahan Haidery(Rza) Kharay hain
Kabhi Bhool kar Na Aana Meri Sarhadon ki Janib
Meri Sarhadon  ki Jaanib Kabhi Bhool kar Na Aana
Faqat Ik Khuda ko Sajda 
Hai Nishan-e-Sarfarazi
Mera Naam hai Mujahid 
Meri Shan hai Namazi
Gye Jaan to Shahadat 
Huwe Surkhuru to Ghazi
Kabhi Bhool kar Na Aana Meri Sarhadon ki Janib
Meri Sarhadon  ki Jaanib Kabhi Bhool kar Na Aana
Meri Sarhaon ke Andar 
Na Qadam Barha Sako ge
Meri Sarhadon tak Aaye to 
Na Bach ke Ja sako ge
Meri Zarb Haidery hai 
Kahan Taab La Sako ge
Kabhi Bhool kar Na Aana Meri Sarhadon ki Janib
Meri Sarhadon  ki Jaanib Kabhi bhool kar Na Aana
Yahan Sherdil Sipahee 
Yahan Sar Farosh Insa'n
Na Kisi mai Bad Hawasi 
Na Yahan koi Parisha'n
Meri Zulfiqar Daulat 
Mera Aitemad Ima'n
Kabhi Bhool kar Na Aana Meri Sarhadon ki Janib
Meri Sarhadon  ki Jaanib Kabhi Bhool kar Na Aana
Kabhi Bhool kar Na Aana Meri Sarhadon ki Janib
Meri Sarhadon  ki Jaanib Kabhi Bhool kar Na Aana

Singer           : Nihal Abdullah
Poet             : Yawar Abbas
Composed   : Nehal Abdullah
Released      : Sept.1965 ( During War )
Play record  : State Information Department with Collaboration of Columbia Records.