Awais Poetry
 

Showing posts with label War Songs. Show all posts
Showing posts with label War Songs. Show all posts

Jangi Taranay Jhankaar جنگی ترانے


Pakistani Jangi Taranay Jhankaar
(پاکستانی یادگار جنگی ترانے (جھنکار کے ساتھ 




اے مردِ مجاہد جاگ ذرا، گلوکار : عنایت حسین بھٹی


اپنی جاں نذر کروں ، گلوکار : مہدی حسن


بھلا جی ہن دھر رگڑا، گلوکار : عنایت حسین بھٹی


دشمنو! تم نے اس قوم کو للکارا ہے ، گلوکار : تصور خانم و شاکت علی


جاگ اٹھا ہے سارا وطن ، گلوکاران : مسعود رانا، شوکت علی و نورجہاں بیگم


کرنیل نی جرنیل نی ، گلوکارہ : نوجہاں


جنگ کھیڈ نئیں ہوندی زنانیاں دی، گلوکاران : تاج ملتانی و نگہت سیما اور دیگر


میریا ڈھول سپاہیا ، گلوکارہ : نورجہاں 


میرا سوہنا شہر قصور نی ، گلوکارہ : نورجہاں


ایہہ پتر ہٹاں تے نئیں وکدے ، گلوکارہ : نورجہاں


اے وطن ہم ہیں تیری شمع کے پروانوں میں ، گلوکار: مسعود رانا و دیگر




Lala Ji Jan Deo Larna Ki Jano ( Interesting Patriotic Song-Lyrics & Download )


Ahmed Rushdi's Interesting & Taunting Patriotic Song of 1965 War against India



Lala Ji Jan Deo
Oye Lala Ji Jan Deo
Larna Ki Jano 
Tussi Murli Bajawan Wale 
Gal Tuhadi Wasdi Naheen
Larna ki Jano Tussi Murli Bajawan Wale 
Gul Tuhadi Wasdi Nahi
Lahore te Hamla Raas Na Aaya 
Ho gye Sakht Khwari
O Sadi Ho gye Sakht Khwari
Lala Ji ho gye Sakht Khwari
Aslaha De ke Zillat Le ke 
Bhaj gyee Sena Saari
O Tuhadi Bhaj gye Sena Saari
Lala Ji Bhaj gye Sena Saari
Aje vi Vela aye..... Aho
Aje vi Vela aye
Man Lao Gal Sadi 
Gal Tuhadi Wasdi Nahi
Larna ki Jano Tusi 
Ke Gal Tuhadi Wasdi Nahi
Jan Deo.......................................
Sialkot di Dharti te di Saday ie Sohnay Gajjay
Han Han Saday ie Sohnay Gajjay
Lala Ji Saday ie Sohnay Gajjay
Chhay Sau(600) Tank te Laashan Chhatkay 
Tusi Maidaanon Bhaggay
Han Han Tusi Maidaanon Bhaggay
Lala Ji Tussi Maidaanon Bhaggay
Aje vi Vela aye..... Aho
Aje vi Vela aye.....
Man Lao Gal Sadi Gal Tuhadi Wasdi Nahi
Larna ki Jano Tusi............................
Ke Gal Tuhadi Wasdi Nahi
Jan Deo...............................................
Rawalpindi Sargodha Aakay 
Tuhaday Hath Ki Aaya
Han Han Tuhaday Hath Ki Aaya
Lala Ji  Tuhaday Hath Ki Aaya
Shehariyan Oothay Bomb Barsa ke 
Moun Kala Karwaya
Sanay Moun Kala Karwaya
Lala Ji Moun Kala Karwaya
Aje vi Vela aye..... Aho
Aje vi Vela aye.....
Man Lao Gal Sadi Gal Tuhadi Wasdi Nahi
Larna ki Jano Tusi............................
Ke Gal Tuhadi Wasdi Nahi
Jan Deo...............................
Pakistan Peya Tuwanoon aeng jeeven 
Choohay noon Pendi Billi
Nas Jao Kashmiron Nai taan 
Deni Pejaao Dehli
Lala Ji Jan Deo
Oye Lala Ji Jan Deo
Larna Ki Jano 
Tussi Murli Bajawan Wale 
Gal Tuhadi Wasdi Naheen
Larna ki Jano Tussi Murli Bajawan Wale
Gul Tuhadi Wasdi Nahi
Ke Gul Tuhadi Wasdi Nahi
Aho.........Ke Gul Tuhadi Wasdi Nahi
Aho.........Ke Gul Tuhadi Wasdi Nahi


Singer            : Ahmed Rushdi
Poet               : Saleem Gilani
Released       : Sept.1965 ( After War )
Radio Pakistan Karachi.

Lala Ji Jan Deo Larna Ki Jano Tussi by Ahmed Rushdi-1965 War Song-MP3 Free Download-Click Here




Hum Agar Arz Karen Ge To Shikayat Hogi-Interesting War Song 1965 by Ahmed Rushdi ( Lyrics & Download )ہم اگر عرض کریں گے تو شکایت ہوگی


Mai ne Kaha Suniye.........................

Aap hi Apni Adaaon pe Zara Ghaur Karen
Hum Agar Arz Karen Ge to Shikayat hogi
Aap hi Apni Adaaon pe Zara Ghaur Karen
Hum Agar Arz Karen Ge to Shikayat hogi
Hum Agar....................Hum Agar
Hum Agar Arz Karen ge to Shikayat hogi
Hum Agar Arz Karen ge to Shikayat hogi
Khul gye Aankh Musalmanon se Le kar Takkar
Bhaarati Sena ko Anay Lagay peham Chakkar
Ho gaye Tank Khatam Jal gaye Kitne hi Jahaaz
Lala Ji ka Wohi Nara hai Wohi hai Awaz
Aik Woh hain ke Hamen Dhons diye Jatay hain
Aik Hum Log ke Ghussay ko Piye Jatay hain
Khirman-e-Kufr Jala Dalen ge Shola Ban kar
Ghussa Hum ko Na Dilao ke Musibat hogi
Ghussa Hum ko Na Dilao ke Musibat hogi
Aap hi Apni Adaaon pe Zara Ghaur Karen
Hum Agar Arz Karen Ge to Shikayat hogi
Hum Agar....................Hum Agar
Hum Agar Arz Karen ge to Shikayat hogi
Hum Agar Arz Karen ge to Shikayat hogi
Mana ke Tank bhi Ajayen ge aur Topen bhi
Chalye Imdad mai Ajayen gi Bandooqen bhi
Jazba Laao ge Kahan se Yeh Batao Hum ko
Bhaagti Fauj ka youn Naqsha Na Dikhao Hum ko
Bhooki Janta ko Na Sholon mai Na Dakhelo Sahab
In Ghareebon ke Na Jazbat se Khelo Sahab
Ban ke poras ke Yeh Haathi Na Kuchal den Tum ko
Bhooki Janta se Daro Warna Qayamat hogi
Bhooki Janta se Daro Warna Qayamat hogi
Aap hi Apni Adaaon pe Zara Ghaur Karen
Hum Agar Arz Karen Ge to Shikayat hogi
Hum Agar....................Hum Agar
Hum Agar Arz Karen ge to Shikayat hogi
Hum Agar Arz Karen ge to Shikayat hogi
Tum ne Deccan pe Kiya Qabza to Khamosh Rahay
Junagarh ko bhi Kaha Apna to Khamosh Rahay
Wadi Kashmir ki Yoon Hazm Na Karnay Den ge
Hum Maharaj ko Yeh Zulm Na Karnay Den ge
Yeh Chura loon Yeh Utha loon Yeh Tareeqa kia hai
Ab bhi Chor do Tum Wadi-e-Kashmir ki Zid
Aap hi Apni Adaaon pe Zara Ghaur Karen
Hum Agar Arz Karen Ge to Shikayat hogi
Hum Agar....................Hum Agar
Hum Agar Arz Karen ge to Shikayat hogi
Hum Agar Arz Karen ge to Shikayat hogi


Singer             : Ahmed Rushdi & Chorus
Poet                : Saleem Gilani
Music             : Lal Muhammad
Released         : Sept 1965 ( After War )
Radio Pakistan Karachi


Hum Agar Arz Karen ge to Shikayat Hogi-Interesting Patriotic Song of 1965 War by Ahmed Rushi-MP3 Free Download-Click Here



آپ ہی اپنی اداؤں پہ ذرا غور کریں
ہم اگر عرض کریں گے تو شکایت ہوگی
کھل گءیں آنکھ مسلمانوں سے لے کر ٹکر
بھارتی سینا کو آنے لگے پیہم چکر
ہوگءے ٹینک ختم جل گءے کتنے ہی جہاز
لالا جی کا وہی نعرہ وہی ہے انداز
ایک وہ ہیں کہ ہمیں دھونس دیے جاتے ہیں
ایک ہم لوگ ہیں غصے کو پیے جاتے ہیں
خرمنِ کفر جلا ڈالیں گے شعلہ بن کر
غصہ ہم کو نہ دلاؤ ورنہ ٘صیبت ہوگی
آپ ہی اپنی اداؤں پہ ذرا غور کریں
ہم اگر عرض کریں گے تو شکایت ہوگی
مانا کہ ٹینک بھی آجاءیں گے اور توپیں بھی
چلیے امداد میں آجاءیں گی بندوقیں بھی
جذبہ لاؤگے کہاں سے یہ بتاؤ ہم کو
بھاگتی فوج کا نقشہ نہ دکھاؤ ہم کو
ان غریبوں کے جذبات سے نہ کھیلو صاحب
بھوکی جنتا کو نہ شعلوں میں دھکیلو صاحب
بھوکی جنتاسے ڈرو ورنہ قیامت ہوگی
آپ ہی اپنی اداؤں پہ ذرا غور کریں
ہم اگر عرض کریں گے تو شکایت ہوگی


Aye Falasteen......Aye Falasteen ( Pakistani War Song for Our Holy Land Palastine ) Lyrics & Download










Hamen Yaqeen hai Dhalay gi Din
Sitam ki Yeh Sham Aye Falastee'n
Aye Falastee'n........Aye Falastee'n
Har Aik Mazloom Sun Chuka hai
Hamara Yeh Pegham Aye Falastee'n
Aye Falastee'n........Aye Falastee'n
Sitam Garon ka Nishana hoga
Hamara  Khoo'n Raaigan Na hoga
Shaheed ho kar bhi Apne Lab par
Hai Tera hi Naam Aye Falastee'n
Aye Falastee'n........Aye Falastee'n
Watan se jab tak Mita na len ge
Nishan Hum SamRajiyon ka
Qasam Muhammad(SaW) ki Azmaton ki
Na len ge Aaram Aye Falastee'n
Aye Falastee'n........Aye Falastee'n
Aye Falastee'n........Aye Falastee'n
Aye Falastee'n........Aye Falastee'n


Singer        :  Munir Hussain & Naseem Begum
Poet           :  Habib Jalib
Music        :  Rasheed Atre
Film           :  Zarqa

Aye Falasteen Aye Falasteen-Pakistani War Song for Palastine by Munir Hussain & Naseem Begum-MP3 Free Download-Click Here


Ruko Nahi Jhuko Nahi Yeh Ma'arkay Hain Tez Tar ( Jangi Tarana-Lyrics )



Ruko Nahi Jhuko Nahi 
Yeh Ma'arkay hain Tez Tar
Ruko Nahi Jhuko Nahi 
Yeh Ma'arkay hain Tez Tar
Naye Siray se Chhir Chuki 
Naye Siray se Chhir Chuki
Jahan main Jang-e-Kher-o-Shar
Ruko Nahi Jhuko Nahi 
Yeh Ma'arkay hain Tez Tar
Ruko Nahi Jhuko Nahi 
Yeh Ma'arkay hain Tez Tar
Ba Khuda Agar Kaheen
Ruk gaye jo Lamha Bhar
Taveel ho Na Jaye Yeh
Jehad ka Haseen Safar
Mita ke Chhorain Zulm ka
Mita ke Chhorain Zulm ka
Jo bhi hai Kaheen Nagar
Ruko Nahi Jhuko Nahi 
Yeh Ma'arkay hain Tez Tar
Ruko Nahi Jhuko Nahi 
Yeh Ma'arkay hain Tez Tar
Ittehad Karlen Sab Agar
Jahan bhi hain Yeh Kalma Go
Majaal Kia hai Kufr ki
Hamaray Agay Bole Woh
Mar ke bhi Woh Zinda hain
Mar ke bhi Woh Zinda hain
Chalen jo Rah-e-Hussain(Rza) par
Ruko Nahi Jhuko Nahi 
Yeh Ma'arkay hain Tez Tar
Ruko Nahi Jhuko Nahi 
Yeh Ma'arkay hain Tez Tar

Singer             : Masood Rana & Chorus
Poet                : Naeem Siddiqui
Music             : Mushtaq Ali

Muslim Ki Hai Lalkar Allahu Akbar ( Jangi Tarana-Lyrics )


Muslim ki hai Lalkar.....Allahu Akbar
Allahu Akbar................Allahu Akbar
Muslim ki hai Lalkar.....Allahu Akbar
Allahu Akbar................Allahu Akbar
Aye Baatil-e-Khoon Khwaar
Khabardar.......................Khabardar
Aye Baatil-e-Khoon Khwaar
Khabardar.......................Khabardar
Muslim ki hai Lalkar.....Allahu Akbar
Allahu Akbar................Allahu Akbar
Hamen Farz ne Pukara
Huwa Waqt ka Ishara
Aye Khuda Tera Sahara
Hamen Farz ne Pukara
Huwa Waqt ka Ishara
Aye Khuda Tera Sahara
Muslim ki hai Lalkar.....Allahu Akbar
Allahu Akbar................Allahu Akbar
Hain Nabi(SaW) ke Hum Sipahee
Chala Lashkar-e-Ilahi
Karen Zulm ki Tabahi
Hain Nabi(SaW) ke Hum Sipahee
Chala Lashkar-e-Ilahi
Karen Zulm ki Tabahi
Allahu Akbar................Allahu Akbar
Muslim ki hai Lalkar......Allahu Akbar
Allahu Akbar................Allahu Akbar
Yeh Larayee hai Ibadat
Hai Buhat Bari Sa'adat
Rahay Deen mai Shahadat
Yeh Larayee hai Ibadat
Hai Buhat Bari Sa'adat
Rahay Deen mai Shahadat
Allahu Akbar................Allahu Akbar
Muslim ki hai Lalkar......Allahu Akbar
Allahu Akbar................Allahu Akbar

Singer          : Masood Rana & Asif Javed
Poet             : Naeem Siddiqui
Music          : Mushtaq Ali



Mera Chan Mahi Kaptan ( Patriotic War Song-Lyrics & Download )



Na Suraj mai Aisi Aan Baan
Na Chand mai Aisi Shaan
Na Suraj mai Aisi Aan Baan
Na Chand mai Aisi Shaan
Mera Chan Mahi Kaptan
Ho.................................
Mera Chan Mahi Kaptan
Jo Naam Watan ka Chamkaye
Meri Umur bhi Us ko Mil Jaaye
Mere Dil ki hai Dua
Us pe Karam ho Tera Khuda
Meri Duniya Meri Jan
Mera Chan Mahi Kaptan
Ho..................................
Mera Chan Mahi Kaptan
Na Suraj mai Aisi Aan Baan
Na Chand mai Aisi Shaan
Mera Chan Mahi Kaptan
Jab koi Watan pe Aanch Aaye
Woh Dushman pe Aise Chhaaye
Jese Teeron ki Uraan
Jese Sholon ka Tufan
Jese Teeron ki Uraan
Jese Sholon ka Tufan
Bara Ghazi Sher Jawan
Mera Chan Mahi Kaptan
Ho.................................
Mera Chan Mahi Kaptan
Na Suraj mai Aisi Aan Baan
Na Chand mai Aisi Shaan
Mera Chan Mahi Kaptan
Ho................................
Mera Chan Mahi Kaptan
Mera Chan Mahi Kaptan


Singer                   : Nighat Seema
Poet                      : Sehba Akhter
Music                    : Lal Muhammad Iqbal
Released              : Oct 1965 ( After War )
Radio Pakistan Karachi
Film                      : Azadi Ya Maut


Mera Chan Mahi Kaptan-Famous Patriotic Song by Nighat Seema-MP3 Free Download-Click Here


Kabhi Bhool Kar Na Aana Meri Sarhadon Ki Janib ( Jangi Tarana 1965-Lyrics )

Kabhi Bhool kar Na Aana Meri Sarhadon ki Janib
Meri Sarhadon ki Jaanib Kabhi Bhool kar Na Aana
Bari Pak Sarzamee'n hai 
Yahan Santari Kharay hain
Koi Dushmanon se Keh de 
Yahan Ghaznavi(Ra) Kharay hain
Yahan Badr ka hai Alam 
Yahan Haidery(Rza) Kharay hain
Kabhi Bhool kar Na Aana Meri Sarhadon ki Janib
Meri Sarhadon  ki Jaanib Kabhi Bhool kar Na Aana
Faqat Ik Khuda ko Sajda 
Hai Nishan-e-Sarfarazi
Mera Naam hai Mujahid 
Meri Shan hai Namazi
Gye Jaan to Shahadat 
Huwe Surkhuru to Ghazi
Kabhi Bhool kar Na Aana Meri Sarhadon ki Janib
Meri Sarhadon  ki Jaanib Kabhi Bhool kar Na Aana
Meri Sarhaon ke Andar 
Na Qadam Barha Sako ge
Meri Sarhadon tak Aaye to 
Na Bach ke Ja sako ge
Meri Zarb Haidery hai 
Kahan Taab La Sako ge
Kabhi Bhool kar Na Aana Meri Sarhadon ki Janib
Meri Sarhadon  ki Jaanib Kabhi bhool kar Na Aana
Yahan Sherdil Sipahee 
Yahan Sar Farosh Insa'n
Na Kisi mai Bad Hawasi 
Na Yahan koi Parisha'n
Meri Zulfiqar Daulat 
Mera Aitemad Ima'n
Kabhi Bhool kar Na Aana Meri Sarhadon ki Janib
Meri Sarhadon  ki Jaanib Kabhi Bhool kar Na Aana
Kabhi Bhool kar Na Aana Meri Sarhadon ki Janib
Meri Sarhadon  ki Jaanib Kabhi Bhool kar Na Aana

Singer           : Nihal Abdullah
Poet             : Yawar Abbas
Composed   : Nehal Abdullah
Released      : Sept.1965 ( During War )
Play record  : State Information Department with Collaboration of Columbia Records.


Aye Sherdil Jawano! Hum Sath Hain Tumhare ( Jangi Tarana-Lyrics )

Aye Sherdil Jawano!
Hum Sath hain Tumharay
Aye Ghar ke Pasbano!
Hum Sath hai Tumharay
Aye Sherdil Jawano!
Khud Daar Sarfaroshon
Janbaz Naam Daaron
Janbaz Naam Daaron
Gulshan ke Jan Nisaron
Chhaanay do Dushmano par
Tum Kat Rahay ho Pyaro!
Aye Sherdil Jawano!
Hum Sath hain Tumharay
Aye Ghar ke Pasbano!
Hum Sath hai Tumharay
Aye Sherdil Jawano!
Nara lagaao Aao 
Yeh Jang Jeetni hai
Yaaro! Qadam Barhao
Yeh Jang Jeetni hai
Yaaro! Qadam Barhao 
Yeh Jang Jeetni hai
Zalim ka Sar Jhukaao
Yeh Jang Jeetni hai
Aye Sherdil Jawano!
Hum Sath hain Tumharay
Aye Ghar ke Pasbano!
Hum Sath hai Tumharay
Aye Sherdil Jawano!
Ahad hai Yeh Sab hi ka
Yeh Jang Sab Laren ge
Hai Ahed har gali ka
Yeh Jang Sab Laren ge
Ho Naam Zindagi ka
Yeh Jang Sab Laren ge
Aye Sherdil Jawano!
Hum Sath hain Tumharay
Aye Ghar ke Pasbano!
Hum Sath hai Tumharay
Aye Sherdil Jawano!

Singer         : Melody Queen Noor Jehan
Poet            : Raees Amrohwi
Music         : Lal Muhammad
Released    : Dec.1971 ( During War )
Radio Pakistan Lahore