Awais Poetry
 

Seenay Se Is Terha Ye Dil-e-Natwan Gaya

Seenay Se Is Terha Ye Dil-e-Natwan Gaya
Ham Sab Se Pochtay Rahay Aakhir Kahan Gaya

Dil Ka Safar Hay Aur,Ye Qadmon Ki Chaal Aur
Hum Ho K Aa Gaye To Wahan Kaarwan Gaya

Aisi Pari Woh Mujh Pe Ebadat-Shikan Nigaah
Sajda Gaya, Namaz Gayi, Aastan Gaya

Jangal Mein Is Terha Ki Udaasi Kabhi Na Thii
Ay Kaarwan Thehar, Mera Sathi Kahan Gaya

Sab Mujh Ko Sun Rahy They Bare Inhamaak Se
Boli Woh Aankh Kya, Mera Zor-e-Bayan Gaya

Rashid Wo Aik Shakhs Tha Duniya Mery Liye
Wo Kya Gaya K Sara Hi Rang-e-Jaahan Gaya