Awais Poetry
 

Showing posts with label GHAZAL"S. Show all posts
Showing posts with label GHAZAL"S. Show all posts

Wo Kehti hai suno jana mohabbat moat hoti hai


Tujy ihaq ho khuda kary Sad Gaza


Haal Kya Poochtay Ho Dard-e-Dil Ka

Haal Kya Poochtay Ho Dard-e-Dil Ka,
Hum To Yaadon Ke Sataye Huey Hain,
Rooh Mein To Tum Samaye Huey Ho,
Hum To Tere Daar Se Bhi Thukraye Huey Hain,
Dil Ke Siva Tumhein Or Kiya Dain,
Ek Jaan Hai Woh Bhi Tum Ko Lutaye Huey Hain,
Hum Jantay Hain Awais, Kiya Beeti Dil Pay Hamaray,
Woh Pathar Dil Hain,
Hum Hi Dhoka Khaey Hue Hain....

Submitted by: Awais

suna hai log use ankh bhar ke dekhte hain

suna hai log use ankh bhar ke dekhte hain
so us ke shahar main kuch din thahar ke dekhte hain
suna hai rabt hai us ko kharab halon se
so apane ap ko barbad karake dekhte hain
suna hai dard ki gahak hai chashm-e-nazuk us ki
so ham bhi us ki gali se guzar kar dekhte hain
suna hai us ko bhi hai sher-o-shayari se shagaf
so ham bhi mojaze apane hunar ke dekhte hain
suna hai bole to baton se phuul jharate hain
ye bat hai to chalo bat kar ke dekhte hain
suna hai rat use chand takata rahata hai
sitare bam-e-falak se utar kar dekhte hain
suna hai hashr hain us ki gazal si ankhain
suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain
suna hai din ko use titaliyan satati hain
suna hai rat ko jugnuu thahar ke dekhte hain
suna hai rat se barh kar hain kakulain us ki
suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain
suna hai us ki siyah chashmagi qayamat hai
so us ko surmafarosh ankh bhar ke dekhte hain
suna hai us ke labon se gulab jalate hain
so ham bahar par ilzam dhar ke dekhte hain
suna hai aina tamasal hai jabin us ka
jo sada dil hain ban sanvar ke dekhte hain
suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
mizaj aur hi lal-o-gauhar ke dekhte hain
suna hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkan main
palang zave us ki kamar ke dekhte hain
suna hai us ke badan ke tarash aise hain
ke phuul apani qabayain katar ke dekhte hain
wo sarv-qad hai magar be-gul-e-murad nahin
ke us shajar pe shaguufe samar ke dekhte hain
bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
so rahravan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain
suna hai us ke shabistan se muttasil hai bahisht
makin udhar ke bhi jalve idhar ke dekhte hain
ruke to gardishain us ka tavaf karati hain
chale to us ko zamane thahar ke dekhte hain
kise nasib ke be-pairahan use dekhe
kabhi kabhi dar-o-divar ghar ke dekhte hain
kahaniyan hin sahi sab mubalage hi sahi
agar wo khvab hai tabir kar ke dekhte hain
ab us ke shahar main thaharain ki kuuch kar jayain
'Faraz' ao sitare safar ke dekhte hain

Eid Ka Din Hai Gale Aaj To Mil Le Zalim,



Eid Ka Din Hai Gale Aaj To Mil Le Zalim,

Rasm-e-Dunia Bhi Hai,

Moqa Bhi Hai,

Dastoor Bhi Hai,

Ishq Is Tarha K Gustakh Taqaze Na Kare,

Husn Mastoor Bhi,

Majboor Bhi,

Maghroor Bhi Hai,

Gharoor-e-Husn K Sadqe Mohabbat Youn Nahi Karte,

Bhari Mehfil Mein Zahir Dil Ki Wehshat Youn Nahi Karte,

Ye Mana Tum Haseen Ho Aur,

Tumhain Haq Hai Shararat Ka,

Kisi Ki Jan Pe Bann Jaye Shararat Youn Nahi Karte,

Jise Tum Husn Kehte Ho Wo Kaba Hai Nighahon Ka,

Adaab Laazim Hai Kabe Ki Ziarat Youn Nahi Karte,

Kuch Apne Husn Ki Khairat De Do Humain,

Kisi Sail Ko Apne Dar Se Rukhsat Youn Nahi Karte,

Haya Aur Sharm Hum Ko Husn Zaiwar Samajhte Hain,

Ye Zaiwar Lut K Reh Jaye Sakhawat Youn Nahi Karate,

Tumhari Ek Nazar Par Faisla Hai Zindgani Ka,

Maseeha Ho K Bemaron Se Ghaflat Youn Nahi Karte,

Aap Ne Jo Kaha Wo Theek Sahi,

Mera Kehna Bhi Bura Nahi,

Eid Ka Din Hai Gale Aaj To Mil Le Zalim..............!

Suna hai loeg usay aankh bhar ke dekhtay hain

Suna hai loeg usay aankh bhar ke dekhtay hain, 
Toe us ke sheher mai kuch din, theher ke dekhtay hain 

suna hai rabt hai usko kharaab haaloen say 
so apnay aap ko barbaad kar ke dekhtay hain 

Suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naaz us ki 
so hum bhee us ki galee say guzar ke dkehtay hain 

suna hai us ko bhee hai sher-o-shaairi se shughaf 
toe hum bhee mu'jzay apnay hunar ke dekhtay hain 

suna hai bolay to baatoen se phool jharrtay hain 
yeh baat hai to chalo baat kar ke dekhtay hain 

suna hai raat usay chaand taktaa rehta hai 
sitaaray baam-e-falak se utar ke dekhtay hain 

suna hai din ko usay titliyaan sataati hain 
suna hai raat ko jugnoo theher ke dekhtay hain 

suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain 
suna hai usko hiran dasht bhar ke dekhtay hain 

suna hai raat se barrh kar hain kaakulain us ki 
suna hai shaam ko saayay guzar ke dekhtay hain 

sunaa hai uski siyaah chashm'gee qayaamat hai 
so usko surma faroesh aah bhar ke dekhtay hain 

suna hai uskay laboen se gulaab jaltay hain 
so hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhtay hain 

suna hai aaina-timsaal hai jabeen uski 
jo saadah dil hain, usay ban sanwar ke dekhtay hain 

bas ik nigaah se lutt'ta hai qaafla dil ka 
so raah-rawaan-e-tamanna bhi dar ke dekhtay hain 

suna hai us ke shabistaan se muttasil hai bahisht 
maseeh udhar ke bhee jalway idhar ke dekhtay hain (LMHOOOOO) 

rukay to gardishain us ka tawaaf karti hain 
chalay to usko zamaanay theher ke dekhtay hain 

kahaaniaaan he sahi, sab mubaalghay he sahi, 
agar woh khwaab hai to ta'beer kar ke dekhtay hain 

ab us ke sheher mai thehrain, keh kooch kar jaayain, 
'Faraaz' aao sitaaray safar ke dekhtay hain. 

===========

Koi tumse pooche kaun hoon main


Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Ek dost hai kaccha pakka sa,
Ek jhooth hai aadha saccha sa.
 jazbaat ko dhake ek parda bas,
Ek bahana hai accha sa.

Jeevan ka ek aisa saathi hai,
Jo door ho ke pass nahin.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Hawa ka ek suhana jhonkha hai,
 Kabhi nazuk toh kabhi tufaano sa.
 Shakal dekh kar jo nazrein jhuka le,
Kabhi apna toh kabhi begaano sa.

Zindgi ka ek aisa humsafar,
Jo samandar hai, par dil ko pyaas nahi.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Ek saathi jo ankahi kuch baatein keh jaata hai,
Yaadon me jiska ek dhundhla chehra reh jaata hai.
  Yoon toh uske na hone ka kuch gham nahi,
 Par kabhi-kabhi aankho se ansoo ban ke beh jaata hai.

 Yoon rehta toh mere tassavur mein hai,
 Par in aankhoon ko uski talaash nahi.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
 Tum keh dena koi khaas nahi……..

Hath Se Hath Churra Kar Gaye Jab Se Tum

Hath Se Hath Churra Kar Gaye Jab Se Tum,
Mene Us Waqt Se In Hathon Se Chhua Kuch Bhi Nahin,
Kash Tu Mujhe Keh De Achaanak Aa Kar,
K Tere Mere Jeevan Main Bacha Kuch Bhi Nahin.. !!

Wo Kehti hai Suno Jana



"Wo Kehti hai Suno Jana
Mohabbat Moom Ka Ghar Hai
Tapish Bad Gumani Ki
Kahin Pighla Na De iss ko"

"Main Kehta Hoon
Jis Dil Main Zara B Badgumani Ho
Wahan Kuch Or Ho Tu Ho
Mohabbat Ho Nahi Sakti"

Wo Kehti Hai Sada Aisay Hi
Kaya tum Muj Ko Chaho Gaye
Keh Main Is Main Kami Koi Bhi
Gawara Ker Nahi Sakti"

"Main Kehta Hoon
Mohabbat Kaya Hai
Yeh Tum Nay sikhaya Hai
Mujay Tum Say Mohabbat K Siwa
Kuch Bhi Nahi Aata"


"Wo Kehti Hai
Judai Say Buht Darta Hai Mera Dil
Keh Khud ko Tum Say Hat Ker Dekhna
Mumkin Nahi Hai Ab"

Main Kehta Hoon
Yahi Khadshay Bohat Muj Ko satatay Hain
Mager Sach Hai Mohabbat Main"
Judai Saath Chalti Hai

"Wo Kehti Hai
Batao Kaya Mere Bin Ji Sako Gaye Tum
Meri Baatien,Meri Yaadien,Meri Ankhien
Bhula Do gaye?"

"Main Kehta Hoon
Kabhi iss Baat Per Socha Nahi Main Nay
Ager Ik Pal Ko B Sochon To
Saansien Ruknay Lagti Hain"


"wo Kehti Hai Tumhien Mujh Say
Mohabbat Is Qader Kyu Hai
Keh Main Ik Aam Si Larki
Tumhien Kyu Khaas Lagti Hoon"


"Main Kehta Hoon
Kabhi Khud Ko Meri Ankhon Say Tum Deikho
Meri Dewangi Kyu Hai
Yeh Kkhud He Jaan Jao Gi"

"Wo Kehti Hai
Mujay Warftgi Say Dekhtay Kyu Ho
Keh Main Khud Ko Bohat
Qeemti Mehsoos Krti Hoon"

"Main Kehta Hoon
Mata-E-Jaan Bohat Anmool Hoti Hai
Tumhien Jab Dekhta Hoon Zindagi
Mehsoos Krta Hoon"

"Wo Kehti Hai Mujay Alfaaz K Jugno Nahi Miltay
Keh Tumhien Bta SakUun
Keh Dil Main Mere
Kitni Mohabbat Hai"

"Main Kehta Hoon
Mohabbat To Niighaon Say Jhalkti Hai
Tumhari Khamosi Mujh Say
Tumhari Baat Karti Hai"

"Wo Kehti Hai
Batao Na Kis Ko Khonay Say Darte Ho
Batao Kon Hai Wo Jisay
Yeh Mosam Bulatay Hain"

"Main Kehta Hoon
Yeh Meri Shaayeri Hai Aiena Dil Ka
Zara Dekho Batao Kaya
Tumhien Is Main Nazar Aya"

"Wo Kehti Hai
Suno!!! Bohat Baatien Banatay Ho
Mager Sach Hai Yeh Baatien
Bohat Hi Shaad Rakhti Hain"

"Main Kehta Hoon
Yeh Sab Baatien Yeh Fasaany Ik Bahana Hain
Keh Pal Kuch Zindagani K
Tumhare Saath Kat Jayen
Phir Us K Baad Khamoshi Ka
Dilkash Raqs Hota Hai
Nigahein Bolti Hai Or
Lab Khamosh Rehtay Hain"

"Wo Kehti hai Suno Jana
Mohabbat Moom Ka Ghar Hai
Tapish Bad Gumani Ki
Kahin Pighla Na De iss ko"