Awais Poetry
 

Hawa sey baat karnay do

Hawa sey baat karnay do
hamein us sey gila hai jo,
usay bhi tu batana hai,
kabhi aa kar kiwaron ko bajati hai,
hamein sotay hoay aksar jagati hai,
kabhi pardes sey sandesa laati hai,k koi aanay wala hai,
magar aata nahi koi,
yeh palkon par laraztay sab charaghon ko bhujati hai,
kabhi yeh baansuri k sur jagati hai,
kabhi yeh dharkanon ki taal mein rach bas c jati hai,
puranay khushk paton ko girati hai,
parindon ko urati hai,unhein bayghar banati hai,
hawa sey baat karnay do.........
samandar k yeh seenay par,
utar k kashtiyan deykho chalati hai,
yeh charon or kese aati jati hai,
yeh kese sahilon ki rait ko dheeray se choo kar,
nit naye chahray banati hai,
phir un ko khud mitati hai,
yeh kese badalon ko PAR bina urna sikhati hai,
phir un sey lay k boondein,
aa k dharti ko sajati hai,
nafas k taar mein kese utar kar muskarati hai,
yeh kese gun'gunati hai,
yeh kese chalti hai aur kis tarah sey tham c jati hai,
hawa sey baat karnay do......