Awais Poetry
 

Showing posts with label NAZAM. Show all posts
Showing posts with label NAZAM. Show all posts

Teri Baaho Ka Sahara Ho, Aankho Ka Isaara Ho


Teri Baaho Ka Sahara Ho, Aankho Ka Isaara Ho
Dil Main Kuch Dard Ho, Bas Tera Sparsh Ho
Naino Ki Naino se Baat Ho, Dil Se Dil Ki Mulaqat Ho
Tere Hoth Gulabi Paas Ho, Aur Pyaar Ki Barsaat Ho
In Khawaabo Main Kho Jau Main, Teri Baho Main Raat Bitau Main
Agar Pyar Mile Tere Mujhko, Bas Usme Hi Kho Jau Main
Aaisi Pyaari Shaam Ho, Meri Jaan Tere Naam Ho
Har Khawahish Teri Ho Poori, Phir Chahe Jo Anjaam Ho
Yuhi Bitey Teri Baaho Main, Har Pal Khaishio Ka Jam Ho
Isliye Teri Baho Main, Aye Jaan Meri Shaam Ho

Bahut Deir Kar Di Tum Ne


Bahut Deir Kar Di Tum Ne

Muhabbat Ka Azhaar Karne Mein,

Mujhe Pane Mein Mujhe Se Pyar Karne Mein,

Ab Kuch Nahi Ho Sakta,

Amanat Hon Mein Kisi Aur Ki,

Guzar Gia Waqt Kia Rakha Hai,

Ab intzaar Karne Mein,

Mujhe Tum Se Mohabbat Hai,

Main Ye Iqrar Nahi Karon Gi,

Kahein Dil Na Toot Jaye Tumhara Ye iqraar Karne Mein,

Tum Mujhe Bhool Jao,

Ye Iltaja Hai Tum Se Meri,

Zindagi Youn Barbad Na Karo,

Apni Aashk Baar Karne Mein,

Na Karna Tum Mujhe Yad,

Na Main Yad Karon Gi,

K Bahut Takleef Hoti Hai,

Yad Kisi Ko Bar Bar Karne Mein..........! 

 

================

Awais Collection

================

Eid Ka Din Hai Gale Aaj To Mil Le Zalim,



Eid Ka Din Hai Gale Aaj To Mil Le Zalim,

Rasm-e-Dunia Bhi Hai,

Moqa Bhi Hai,

Dastoor Bhi Hai,

Ishq Is Tarha K Gustakh Taqaze Na Kare,

Husn Mastoor Bhi,

Majboor Bhi,

Maghroor Bhi Hai,

Gharoor-e-Husn K Sadqe Mohabbat Youn Nahi Karte,

Bhari Mehfil Mein Zahir Dil Ki Wehshat Youn Nahi Karte,

Ye Mana Tum Haseen Ho Aur,

Tumhain Haq Hai Shararat Ka,

Kisi Ki Jan Pe Bann Jaye Shararat Youn Nahi Karte,

Jise Tum Husn Kehte Ho Wo Kaba Hai Nighahon Ka,

Adaab Laazim Hai Kabe Ki Ziarat Youn Nahi Karte,

Kuch Apne Husn Ki Khairat De Do Humain,

Kisi Sail Ko Apne Dar Se Rukhsat Youn Nahi Karte,

Haya Aur Sharm Hum Ko Husn Zaiwar Samajhte Hain,

Ye Zaiwar Lut K Reh Jaye Sakhawat Youn Nahi Karate,

Tumhari Ek Nazar Par Faisla Hai Zindgani Ka,

Maseeha Ho K Bemaron Se Ghaflat Youn Nahi Karte,

Aap Ne Jo Kaha Wo Theek Sahi,

Mera Kehna Bhi Bura Nahi,

Eid Ka Din Hai Gale Aaj To Mil Le Zalim..............!

Maan liya sach kehti ho

Maan liya sach kehti ho..
Mujh se Mohabat karti ho..
Meray khawabo'n ki duniya mein rehti ho..
Meri Yaad ke Aalem...
Door Khilaa mein...
Akser takti rehti ho..
Din socho'n mein kat jata hai..
Raat ko neend nahi ati..
Ek Ek tara ginti ho..
Ye bhi sach hai...!!
Apney Hussn ki barish se..
Meri zeest ka sehra..
Jal-Thal ker do ge..
Jeevan bhar sukh banto ge..
Lekin.......!
Aye masoom Larki !!
Main bebus hoon..
Chahoo'n bhi to...
Sath tumara dey nahi sakta..
Meray Dukh ki Duniya Tanhaa..
Meray Sukh ki Bat alag hai..
Kis Omeed pe, Kis Barta (Barta= Bharosa)  per..?? 
Mera Daman thamo ge..
Meray hath ki toti-photi..
Tirchi Lakire'n ghaor se dekho..
!.inn mein Tumara naam nahi hai....!

Chalo Ik Or Dunya Mein Tumhare Saath Chaltey Hain

Chalo Ik Or Dunya Mein
Tumhare Saath Chaltey Hain,

Jahan Halaat kuch Bhi Hoon
Magar Hum Saath Rehtey Hoon,

Jahan Mousam koi Bhi Ho Judai ka Na Ho Lekin,

Jahan ka Chaand Bhi Tum Ho,

Jahan Sooraj,
Hawa,
Khushboo,
Or Gullon ka Rang Tum Se Ho,

Jahan Per Dil Dharkney ka Her Ik Ehsas Tum Se Ho,

Jahan Per Merey Jeeney ki
Saari Aas Tum Se Ho,

Chalo Ik Or Dunya Mein
Tumharey Saath Chaltey Hain..!!

Chalo tum theak kehtay ho

Chalo tum theak kehtay ho
Muhabbat aur syaasat main,
Sabhi atwaar jaayiz hain,
Chalo hum maan letay hain,
Magar ye jang kaisi hai,
Tum hi mere muqabil ho,
Chalo hum jeet ki khawahish,
Tum hi pe waar detay hain,
Dhanak k pull pe chal k hum,
Gagan k paar jaatay hain,
Chalo hum haar jaatay hain...!

Tum ne apni chahaton ka iqrar manga hai to suno!

Tum ne apni chahton ka iqrar manga hai
to suno!
Dil k sache jazbe
izhar k muhtaj nahi hote
ye to wo jazbe hain jo jugnu ban ker ankhon mein chamkte hain
honton k narm goshon mein reh k
dil mein baste hain
tum mujh mein isi tarha samaye huye ho
k jaise
phool mein khushbu
taron mein chamak
titli mein rang
mera tumhara rishta atoot hai
jism.o.jan ka hai
jo jura rahe to zindagi
or toot jaye to moot.

Yeh thaka thaka sa jo chaand hai

Yeh thaka thaka sa jo chaand hai,
Yah tou khawb hai,kisi aankh ka,
Jissay jaagnay ki saza mili,
Yeh jo chaand hai,yeh azaab hai,
Woh azaab,
jis ney mila dia hai gulaab lamhon ko khak mein,
Yeh jo chaand hai,yeh jawaab hai,
Kisi is tarah kay sawaal ka,
Kah jo aaj tak na utha kabhi kisi zahn mein,
Yeh jo chaand hai,
Yeh tou baab hai kisi dard ka,
Kisi hijr ka,kisi wasl ka,
Kisi zard zard si fasl ka,
Yeh takha thaka sa jo chaand hai,
Kabhi ban paray tou yeh is sey pooch k dekhna,
Issay gahri gahri si neend sey,
Bhala kis ney aa kay jaga diya?
Issay rog kis ney laga diya.....?

Dil soch ka pinjra hai

Dil soch ka pinjra hai
ik bar hi khulta hai
dil payar ka soda hai
ik bar hi tulta hai
dil yaad ka badal hai
be had barsta hai
dil payar ka bhoka hai
apnon ko tarsta hai
dil mooj ka darya hai
seene se nikalta hai
dil dil baraf ka tukra hai
jamta na pighlta hai
dil seep ka moti hai
nazron main chamakta hai
dil payas ka darya hai
be simat hi behtahe
dil dard ka tukra hai
..be cheen sa rahta hai...

jo rothe use mana leena

jo rothe use mana leena...
jo bigre use bana leena..
sab kuch de k sab kuch pa leena.....
ya jo hasti ka afsaana hai...
jab ishq kiya to jana hai...

tum dor raho ya paas raho...
ham chahte hain khush baash raho..
youn hi ban k hamari aas raho..
kion kho kar hi kuch pana hai...
jab ishq kiya to jana hai...

ye ishq hamari marzi ye...
ishq hamari majbori...
yahi ishq hamari manzori..
kion soli par charh jane hai...
jab ishq kiya to jan hai...
...jab ishq kiya to jana he...

Barishon ka mosam hai

Barishon ka mosam hai

Rooh ki fizaon mein.

Gamzada hawaein hein.

Besabab udasi hai

Is ajeeb mosam mein.

Beqrar raton ki.

Beshumar batein hein.

An ginat afsaney .

hein Jo bohat khamoshi sey.

Dil pey sehtey phirtey hein.

Or ba amr-e-mjboori.

Sab sey kehtey phirtey hein.
"Aaj mosam acha hai"...

Neya saal aya...!!

Neya saal aya...!!
Veera'n subho'n ki Neeli teho'n se obhrta..
Kheyyaba'n-o-Dasht-o-Jabal ki Thatharti khamoshi me..
Barfeeli seeti bajata..
Dabey paao'n aya..
Yukh Aalooda shamo'n ki khamoshia'n..
Oss ke Qadmo'n ki Aahat sametey...
Guzr-gaho'n per, saybano'n me, Noha kina'n hain..
Der ati hi sham ko, Daricho'n ki Dararo'n se...
pur-shor Jhonko'n ki be-mohr Thandak..
Brodat zada panio'n per, prindey..
Kinaro'n per Aistaadah pairo'n ki gham-nak...
shakho'n ki Janib orey ja rahey hen...
Makee'n Aangano'n me, chatto'n per..
Dharktey Dilo'n me hazaro'n kheyyalo'n ki shmaie'n jalaye..
Dabey paao'n atey hoye saal ko dekhtey hain...!!

Hawa sey baat karnay do

Hawa sey baat karnay do
hamein us sey gila hai jo,
usay bhi tu batana hai,
kabhi aa kar kiwaron ko bajati hai,
hamein sotay hoay aksar jagati hai,
kabhi pardes sey sandesa laati hai,k koi aanay wala hai,
magar aata nahi koi,
yeh palkon par laraztay sab charaghon ko bhujati hai,
kabhi yeh baansuri k sur jagati hai,
kabhi yeh dharkanon ki taal mein rach bas c jati hai,
puranay khushk paton ko girati hai,
parindon ko urati hai,unhein bayghar banati hai,
hawa sey baat karnay do.........
samandar k yeh seenay par,
utar k kashtiyan deykho chalati hai,
yeh charon or kese aati jati hai,
yeh kese sahilon ki rait ko dheeray se choo kar,
nit naye chahray banati hai,
phir un ko khud mitati hai,
yeh kese badalon ko PAR bina urna sikhati hai,
phir un sey lay k boondein,
aa k dharti ko sajati hai,
nafas k taar mein kese utar kar muskarati hai,
yeh kese gun'gunati hai,
yeh kese chalti hai aur kis tarah sey tham c jati hai,
hawa sey baat karnay do......

Mein maa hoon elm hai mujh ko

Mein maa hoon elm hai mujh ko,
Mera bacha,
Mujhay kab,kyun bulata hai,
Rulati hai ussay kia bat,kis pal muskarata hai?
Woh kab aaram karta hai,woh kese khilkhilata hai,
Mein maa hoon elm hai mujh ko,
Magar jab yeh bara ho ga,
Mujhay yeh kuch bataye ga,
Yeh kuch mujh sey chupaye ga,
Yeh samjhay ga k maa ko kia khabar is ki,
Woh ghar baithay bhala kia jaan paye gi?
Woh ghar takheer sey aa kar bahanay jab banaye ga,
Mein sab kuch jaan kar anjaan ban jaoon gi us lamhay,
Kah yeh har maa ki fitrat hai,
Mera bacha yeh kese jaan sakta hai,
Kah us ki in ragon mein,MAA lahu k sath chalti hai,
Usay kanta bhi chubh jaye tu maa ka dil tarapta hai,
Woh jis jah bhi chala jaye,
Duaon k ghanay has'sar mein mehfooz hota hai,
Woh maa k dil mein hota hai,
Qadam jis pal uthata hai,
Woh jis rastay pe jata hai,
Tu thandi chaon sa aanchal bhi us k sath hota hai,
Main MAA hoon elm hai mujh ko.....

Meray bachay ney jab mujh sey kaha Mamma

Meray bachay ney jab mujh sey kaha Mamma!
zara jugnu mujhay la do,
mujhay titlee kay rangon ko bhi choona hai,
sitaray aasmaan par hi uggay hein kyun?
zameen par kyun nahi aatay?
mujhay bas chaand laa do,us sey khayloon ga,
mein chonk utthi,
yehi kuch mein ney apni maa sey poocha tha,
mera masoom sa bachpan,
jo mutthi sey phisal kar kho gaya shayed,
mera bacha jo mayra "AAJ" hai,
aur aanay wala ik haseen 'KAL" hai.
lahu mein is ki baton sey hi halchal hai,
yeh maira qeemti PAL hai,
mera bacha haseen tabeer ban kar samnay hai aur
maazi khawab lagta hai,
TOU KIA MEIN KHAWB SEY AAGAY NIKAL AAYEE.?????

Woh nafraton ke sawal kar ke

Woh nafraton ke sawal kar ke

mohabaton ke jawab maange

ye chaahton ki karri mushaqat

chalen hain tanha

shikast khurda

koi to mera bhi dard jaane

koi to uss se hisaab maange!!!!

Dil Udaas Rehta Hai Baarishon Ke Mausam Mein

Dil Udaas Rehta Hai
Baarishon Ke Mausam Mein
Zindgi Pighalti Hai
Khwaahishon ke Mausam Mein
Waqt Thehar Jata Hai
Muntazir Nigahon Mein
Janglon Ke Khatray Hain
Bastion Ki Raahon Mein
Ho Sake Tou Lout Aana
Pyar Ki Panahon Mein..
Ishq Ka Ijaara Hai
Dil Ki Shahraaon Per

Tum aksar pochtay thay na

Tum aksar pochtay thay na!!
Jo hum bichray to kiya hoga??
Tum aksar sochtay thay na!!
Na mil paey to kiya hoga??
To dekho ab bhi zinda hain…
Abhi bhi chand taktay hain…
Abhi bhi phool khiltay hain…
Abhi bhi dil k darya main hazaroo dard behtay hain…
Abhi bhi kuch nahi badla magar phir bhi kami si hai…
Tumharay baad jaana ankh main her dam nami si hai..

Usey ye kon samjhaey???

Usey ye kon samjhaey???
Wo dasht-e-khamoshi main…
Ungliyon main seepiyaan pehnay…
Kisi sookhay samadar ki…
Adhoori piyaas ki batain…
Buhat chup chap sunta hai…
Buhat khamosh rehta hai…
Usey ye kon samjhaey??
Khushi k eik aansu se…
Samandar bhar bhi jatay hain…
Buhat khamosh rehnay se…
Talluq mar bhi jatay hain…