Awais Poetry
 

kahin chand rahon mein kho gaya khain chandni bhi bhatak gayi

kahin chand rahon mein kho gaya khain chandni bhi bhatak gayi 
mein charagh wo bhi bujha howa, meri raat kesey chamak gayi  

meri dastaan ka urooj tha, teri narm palkon ki chha’oon mein 
merey sath tha tujhey jagna, teri ankh kesey jhapak gayi  

kabhi hum miley bhi to kia miley, wohi dorian wohi fasley 
na kabhi hamarey qadam barhey, na kabhi tumhari jhijhak gayi 

Tere Hath se Mere Hont tak wohi intzar ki Piyas hai 
Mere Naam ki jo Sharab thi kahin raste mein Chhalak gayi 

tujhey bhool janey ki koshishain, kabhi kamyaab na ho sakin 
teri yaad shakh-e-gulab hai, jo hawa chali to lachak gayi