Awais Poetry
 

Udasiyon ka hunar ikhtayaar kartay hein

Udasiyon ka hunar ikhtayaar kartay hein
Khushi ka zard ruton mein shumaar kartay hein

tum aao,dekho,saraho,koi tou bat karo
tumharay wastay solah singhar kartay hein

gulaab lay k silay mein jo kanty sonpay
ham is tarah ka bhala karobar kartay hein?

faqat wasaal ko kahtay hein zindagi ham log
firaaq k kahan lamhay shumaar kartay hein

nishanay un k kabhi chooktay nahi dekhay
bohat qareeb sey jo log waar kartay hein

yeh mosmon sey shikayat si kyun hoi ham ko?
yeh zikr kis ka bhala baar baar kartay hein?

yeh chaand shab sey sahar tak hai kis ka matlashi?
sitaaray kis ka bhala intezaar kartay hein?

buland hosla hotay hein woh bala kay batool
jo apnay hath sey qismat ko daar kartay hein