Suna hai loeg usay aankh bhar ke dekhtay hain,
Toe us ke sheher mai kuch din, theher ke dekhtay hain
suna hai rabt hai usko kharaab haaloen say
so apnay aap ko barbaad kar ke dekhtay hain
Suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naaz us ki
so hum bhee us ki galee say guzar ke dkehtay hain
suna hai us ko bhee hai sher-o-shaairi se shughaf
toe hum bhee mu'jzay apnay hunar ke dekhtay hain
suna hai bolay to baatoen se phool jharrtay hain
yeh baat hai to chalo baat kar ke dekhtay hain
suna hai raat usay chaand taktaa rehta hai
sitaaray baam-e-falak se utar ke dekhtay hain
suna hai din ko usay titliyaan sataati hain
suna hai raat ko jugnoo theher ke dekhtay hain
suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain
suna hai usko hiran dasht bhar ke dekhtay hain
suna hai raat se barrh kar hain kaakulain us ki
suna hai shaam ko saayay guzar ke dekhtay hain
sunaa hai uski siyaah chashm'gee qayaamat hai
so usko surma faroesh aah bhar ke dekhtay hain
suna hai uskay laboen se gulaab jaltay hain
so hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhtay hain
suna hai aaina-timsaal hai jabeen uski
jo saadah dil hain, usay ban sanwar ke dekhtay hain
bas ik nigaah se lutt'ta hai qaafla dil ka
so raah-rawaan-e-tamanna bhi dar ke dekhtay hain
suna hai us ke shabistaan se muttasil hai bahisht
maseeh udhar ke bhee jalway idhar ke dekhtay hain (LMHOOOOO)
rukay to gardishain us ka tawaaf karti hain
chalay to usko zamaanay theher ke dekhtay hain
kahaaniaaan he sahi, sab mubaalghay he sahi,
agar woh khwaab hai to ta'beer kar ke dekhtay hain
ab us ke sheher mai thehrain, keh kooch kar jaayain,
'Faraaz' aao sitaaray safar ke dekhtay hain.
===========