وہ دل میں مرے گھات لگا کر ہی رہے گا
جذبات میں ہلچل سی مچا کر ہی رہے گا
ہر بات میں تکرار کی عادت کے سبب وہ
رشتے میں کوئی چھید بنا کر ہی رہے گا
کہتا ہے، مجھے چاند کو چھونے کی ہے خواہش
اک روز زمیں پر اسے لا کر ہی رہے گا
کچا ہے گھروندا مرا، بادل بھی ہے ضد میں
لگتا ہے کوئی کام دکھا کر ہی رہے گا
گرتی ہے تو سو بار گرے، اُس کی بلا سے
وہ ریت کی دیوار بنا کر ہی رہے گا
شک روگ ہے یہ دل کو اگر چھو لے تو سمجھو
............ بُنیاد وہ اس گھر کی ہلا کر ہی رہے گا
Woh Dil Mein Merey Ghaat Laga Kar He Rahey Ga
Jazbaat Mein Hulchal Si Macha Kar He Rahey Ga
Har Baat Mein Takraar Ki Aadat K Sabab Woh
Rishtey Mein Koi Chhaid Bana Kar He Rahey Ga
Kehta Hai, Mujhe Chaand Ko Chhoone Ki Hai Khuwahish
Ik Roz Zameen Par Usay Laa Kar He Rahey Ga
Kacha Hai Gharonda Mera, Badal Bhi Hein Zid Mein
Lagta Hai Koi Kaam Dikha Kar He Rahey Ga
Girti Hai Tou So Baar Giray , Us Ki Bala Se
Woh Rait Ki Diwaar Bana Kar He Rahey Ga
Shak Rog Hai Yeh Dil Ko Agar Chhoo Lay Tou Samjho
Bunyaad Woh Iss Ghar Ki Hila Kar He Rahey Ga...........