Mere Watan Mere Chaman
Mere Watan Mere Chaman
Meri Tamaam Shaayri
Nisar Tere Roop par
Nisar Teri Chhaaon pe
Nisar Teri Dhoop par
Mere Watan Mere Chaman
Mere Watan Mere Chaman
Falak ko Choomtay huwe
Haseen Kohsaar hain
Sunehri Waadiyan Teri
Zufail Aabshaar hain
Tera Samundur Aik Taraf
Bikherta hai Hasee'n Manzar
Mere Watan Mere Chaman
Mere Watan Mere Chaman
Meri Tamaam Shaayri
Nisar Tere Roop par
Nisar Teri Chhaaon pe
Nisar Teri Dhoop par
Mere Watan Mere Chaman
Mere Watan Mere Chaman
Woh Ravi ho k Sindh
Neelam,Jehlum, Chanab ho
Zameen saji hai In se youn
Ke Jese koi Khwaab ho
Na jaanay kitne Chand hain
Sajay huwe hain Nagar Nagar
Mere Watan Mere Chaman
Mere Watan Mere Chaman
Meri Tamaam Shaayri
Nisar Tere Roop par
Nisar Teri Chhaaon pe
Nisar Teri Dhoop par
Mere Watan Mere Chaman
Mere Watan Mere Chaman
Muhabbaton ki Jheel mai
Khilay Kanwal Kanwal mai Tu
Mere har Aik Geet mai
Meri Ghazal Ghazal mai Tu
Mera Qalam Mera Yeh Dil
Tere liye hi Naghma gar
Mere Watan Mere Chaman
Mere Watan Mere Chaman
Meri Tamaam Shaayri
Nisar Tere Roop par
Nisar Teri Chhaaon pe
Nisar Teri Dhoop par
Mere Watan Mere Chaman
Mere Watan Mere Chaman
Singer : Muhammad Ali Shyhaki
Poet : Masroor Anwer
Music : Nisar Bazmi
Released : 1985
Pakistan Television Karachi