عجیب رت تھی کہ ہر چند پاس تھا وہ بھی
بہت ملول تھا میں بھی اداس تھا، وہ بھی
کسی کے شہر میں کی گفتگو ھواؤں سے
یہ سوچ کر کہ کہیں آس پاس تھا ، وہ بھی
ہم اپنے زعم میں خوش تھے کہ اسکو بھول چکے
مگر گماں تھا یہ بھی ، قیاس تھا ، وہ بھی
کہاں کا اب غم دنیا کہاں کا اب غم جاں
وہ دن بھی تھے کہ ہمیں یہ بھی راس تھا، وہ بھی
فراز تیرے گریباں پہ کل جو ہنستا تھا
........ اسے ملے تو دریدہ لباس تھا ، وہ بھی
Ajeeb Rutt Thi K Har Chund Paas Tha Woh Bhi
Bohat Malool Tha Mein Bhi Udaas Tha, Woh Bhi
Kisi K Shehar Mein Ki Guftagoo Hawaao'n Se
Yeh Soch Kar K Kaheen Aas Paas Tha, Woh Bhi
Hum Apne Za'am Mein Khush Thay Us Ko Bhool Chuke
Magar Gumaan Tha Yeh Bhi, Qayaas Tha, Woh Bhi
Kahan Ka Ab Gham-e-Duniya Kahan Ka Ab Gham-e-Jaan
Woh Din Bhi Thay K Hamein Yeh Bhi Raas Tha, Woh Bhi
FARAZ Teray Gareibaan Pay Kal Jo Hansta Tha
Ussay Milay Tou Dareeda Libaas Tha, Woh Bhi.......