Showing posts with label Yaad. Show all posts
Showing posts with label Yaad. Show all posts
Itna Na Yaad Kar Usay Thakti Hai Yaad Bhi
اِتنا نہ یاد کر اْسے تھکتی ہے یاد بھی
اے دل ذرا سنبھل کہ بہکتی ہے یاد بھی
دْوری تو اور پھول کھلاتی ہے قرب کے
ویرانے میں تو اور مہکتی ہے یاد بھی
تیرے ہی پاس ہوگا مرا گمشدہ سکوں
تیرے ہی اردگرد بھٹکتی ہے یاد بھی
سہما ہوا ہے دل کسی خوف ِگزشتہ سے
اب تو مرے بدن میں دھڑکتی ہے یاد بھی
بینائ تو غبار ہوئ انتظار میں
آنکھوں میں میری اب تو کھٹکتی ہے یاد بھی
کیسا ہجوم ِ درد ہے اے دل کہ ان دِنوں
دم بھی الجھ رہا ہے اٹکتی ہے یاد بھی
شاید وہ لوٹ آۓ کسی طور باغ میں
......طائر پکارتے ہیں چہکتی ہے یاد بھی
Itna Na Yaad Kar Usay Thakti Hai Yaad Bhi
Ay Dil Zara Sanbhal Ke'h Behakti Hai Yaad Bhi
Doori Tou Aur Phool Khilati Hai Qurb K
Viraney Mein Tou Aur Mehakti Hai Yaad Bhi
Terey He Paas Hoga Mera Gumshuda Sukoon
Terey He Ird Gird Bhatakti Hai Yaad Bhi
Sehma Hua Hai Dil Kisi Khof-E-Guzishta Se
Ab Tou Merey Badan Mein Dharrakti Hai Yaad Bhi
Beenaai Tou Gubaar Hui Intazaar Mein
Aankhon Mein Meri Ab Tou Khatakti Hai Yaad Bhi
Kaisa Hujoom-E-Dard Hai Ay Dil Ke'h In Dino
Dum Bhi Ulajh Raha Hai Atakti Hai Yaad Bhi
Shayad Woh Lout Aaey Kisi Tor Baagh Mein
Taaiyer Pukartey Hein Chehakti Hai Yaad Bhi...