Awais Poetry
 

Showing posts with label Dsaht-e-Gumaan Hai. Show all posts
Showing posts with label Dsaht-e-Gumaan Hai. Show all posts

Iss Dasht Se Aagay Bhi Koi Dsaht-e-Gumaan Hai

Best Love Poetry
  
اِس دشت سے آگے بھی کوئی دشتِ گماں ہے
لیکن یہ یقیں  کون  دلائے  گا  کہاں  ہے

یہ روح کسی اور علاقے کی مکیں ہے
یہ جسم کسی اور جزیرے کا مکاں ہے

کشتی کے مسافر پہ یونہی طاری نہیں خوف
ٹھہرا ہوا پانی کسی خطرے کا نشاں ہے

جو کچھ بھی یہاں ہےترے ہونے سے ہے ورنہ
منظر میں جو کھلتا ہے، وہ منظر میں کہاں ہے

اِس راکھ سے اٹھتی ہوئی ۔۔خوشبو نے بتایا
مرتے ہوئے لوگوں کی کہاں جائے اماں ہے

کرتاہے وہی کام جو کرنا نہیں ہوتا
جو بات میں کہتاہوں یہ دل سنتا کہاں ہے

یہ کارِ سخن کارِ عبث تو نہیں عامی
 ....یہ قافیہ پیمائی نہیں حسنِ بیاں ہے
Iss Dasht Se Aagay Bhi Koi Dsaht-E-Gumaan Hai
Lekin Yeh Yaqeen Kon Dilaey Ga Kahan Hai

Yeh Rooh Kisi Aur Ilaqay Ki Makeen Hai
Yeh Jism Kisi Aur Jazeeray Ka Makaan Hai

Kashti K Musafir Pe Youn He Taari Nahi Khof
Thehra Hua Pani Kisi Khatrey Ka Nishaan Hai

Jo Kuch Bhi Yahan Hai Terey Honey Se Hai Warna
Manzar Men Jo Khulta Hai,Wo Manzar Men Kahan Hai

Iss Raakh Se Uthti Hui Khushbu Ne Bataya
Martey Huey Logon Ki Kahan Jaey-Amaan Hai

Karta Hai Wohi Kaam Jo Karna Nahi Hota
Jo Baat Mein Kehta Hoon Yeh Dil Sunta Kahan Hai

Yeh Kaar-E-Sukhan Kaar-E-Abad Tou Nahi Aami
Yeh Qafiya'h Paimaiee Nahi Husn-E-Bayaan Hai


 Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It