Awais Poetry
 

Showing posts with label Great Ghazals Collection. Show all posts
Showing posts with label Great Ghazals Collection. Show all posts

Iss Dasht Se Aagay Bhi Koi Dsaht-e-Gumaan Hai

Best Love Poetry
  
اِس دشت سے آگے بھی کوئی دشتِ گماں ہے
لیکن یہ یقیں  کون  دلائے  گا  کہاں  ہے

یہ روح کسی اور علاقے کی مکیں ہے
یہ جسم کسی اور جزیرے کا مکاں ہے

کشتی کے مسافر پہ یونہی طاری نہیں خوف
ٹھہرا ہوا پانی کسی خطرے کا نشاں ہے

جو کچھ بھی یہاں ہےترے ہونے سے ہے ورنہ
منظر میں جو کھلتا ہے، وہ منظر میں کہاں ہے

اِس راکھ سے اٹھتی ہوئی ۔۔خوشبو نے بتایا
مرتے ہوئے لوگوں کی کہاں جائے اماں ہے

کرتاہے وہی کام جو کرنا نہیں ہوتا
جو بات میں کہتاہوں یہ دل سنتا کہاں ہے

یہ کارِ سخن کارِ عبث تو نہیں عامی
 ....یہ قافیہ پیمائی نہیں حسنِ بیاں ہے
Iss Dasht Se Aagay Bhi Koi Dsaht-E-Gumaan Hai
Lekin Yeh Yaqeen Kon Dilaey Ga Kahan Hai

Yeh Rooh Kisi Aur Ilaqay Ki Makeen Hai
Yeh Jism Kisi Aur Jazeeray Ka Makaan Hai

Kashti K Musafir Pe Youn He Taari Nahi Khof
Thehra Hua Pani Kisi Khatrey Ka Nishaan Hai

Jo Kuch Bhi Yahan Hai Terey Honey Se Hai Warna
Manzar Men Jo Khulta Hai,Wo Manzar Men Kahan Hai

Iss Raakh Se Uthti Hui Khushbu Ne Bataya
Martey Huey Logon Ki Kahan Jaey-Amaan Hai

Karta Hai Wohi Kaam Jo Karna Nahi Hota
Jo Baat Mein Kehta Hoon Yeh Dil Sunta Kahan Hai

Yeh Kaar-E-Sukhan Kaar-E-Abad Tou Nahi Aami
Yeh Qafiya'h Paimaiee Nahi Husn-E-Bayaan Hai


 Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Guzar Raha Hoon Magar Waqt K Iraday Se

Best Sad Poetry

گزر رہا ہوں مگر وقت کے ارادے سے
مرا وجود بندھا ہے ہوا کے دھاگے سے

کسے پکاروں بھلا کون چل کے آئے گا
یہاں پہ لوگ نظر آئے بھی تو آدھے سے

میں اِس جگہ سے کہیں اور جا نہیں سکتا
بندھا ہوا ہوں مکمل کسی کے وعدے سے

یہ چاند ٹوٹ کے قدموں میں کیوں نہیں گرتا
یہ کھینچتا ہے مجھے چاندنی کی دھاگے سے

تغیرات کی دنیا ترا قصور ہی کیا
....ترا وجود جو ممکن ہوا ارادے سے

Guzar Raha Hoon Magar Waqt K Iraday Se
Mera Wujood Bandha Hai Hawa K Dhagay Se

Kisay Pukaroon Bhala Kon Chal K Aaega
Yahan Par Log Nazar Aaey Bhi Tou Aadhey Se

Mein Iss Jagha Se Kaheen Aur Ja Nahi Sakta
Bnadha Hua Hoon Mukammal Kisi K Waday Se

Yeh Chaand Toot K Qadmon Mein Q Nahi Girta
Yeh Kheenchta Hai Mujhe Chaandni K Dhagay Se

Tagayyuraat Ki Dunya Tera Qusoor He Kia 
Tera Wujood Jo Mumkin Hua Iraday Se......



Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Mein Ussay Apney Sabhi Aasaar De Kar Aagaya

Great Ghazals Collection

تیر ، نیزے ، ڈھال اور تلوار دے کر آگیا
اپنا سب کچھ ہی سپہ سالار دے کر آگیا

ہارنے کے خوف سے یہ فیصلہ کرنا پڑا
جنگ سے پہلے میں سب ہتھیار دے کر آگیا

عین ممکن ہے وہ میرا نام تک رہنے نہ دے
میں اُسے اپنے سبھی آثار دے کر آگیا

وقت نے دہرا دیا قصہ مرے اسلاف کا
اہل مکہ کو میں پھر گھر بار دے کر آگیا

اپنے حصے کی حکومت بھی اُسی کو سونپ دی
 ...میں ندیمؔ اُس کو بھرا دربار دے کر آگیا

Teer, Naizay, Dhaal Aur Talwaar De Kar Aagaya
Apna Sab Kuch He Sipa'h Salaar De Kar Aagaya

Haarney K Khof Se Yeh Faisla Karna Parra
Jung Se Pehle Mein Sab Hathyaar De Kar Aagaya

Ain Mumkin Hai Woh Mera Naam Tak Rehne Na De
Mein Ussay Apney Sabhi Aasaar De Kar Aagaya

Waqt Ne Duhra Diya Qissa Merey Aslaaf Ka
Ehl-E-Makkah Ko Mein Phir Gahr Baar De Kar Aagaya

Apne Hisaay Ki Huqoomat Bhi Ussi Ko Sonp Di
Mein Nadeem Us Ko Bhara Darbaar De Kar Aagaya..



Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Kisi Pichhli Mohabbat Ko Dobara Kar Liya Jaey


Best Love Poetry

یونہی اس عشق میں اتنا گوارہ کر لیا جائے
کسی پچھلی محبت کو دوبارہ کر لیا جائے

شجر کی ٹہنیوں کے پاس آنے سے ذرا پہلے
دعا کی چھاؤں میں کچھ پل گزارہ کر لیا جائے

ہمارا مسئلہ ہے مشورے سے اب بہت آگے
کسی دن احتیاطاً استخار ہ کر لیا جائے

مرا مقصد یہاں رکنا نہیں بس اتنا سوچا ہے
سفر سے پیشتر اس کا نظارہ کر لیا جائے

حوالے کر کے اپنا جسم اک دن تیز لہروں کے
پھر اس کے بعد دریا سے کنارہ کر لیا جائے

ندیمؔ اس شہر میں مانوس گلیاں بھی بہت سی ہیں
....اور اب آئے ہیں تو ان کا نظارہ کر لیا جائے

Youn He Iss Ishq Mein Itna Gawara'h Kar Liya Jaey
Kisi Pichhli Mohabbat Ko Dobara Kar Liya Jaey

Shajar Ki Tehniyon K Paas Aaney Se Zara Pehley
Dua Ki Chhaaon Mein Kuch Pal Guzara'h Kar Liya Jaey

Hamara Mas'ala Hai Mashwarey Se Ab Bohat Aagay
Kisi Din Ehtiyatan Istakhara'h Kar Liya Jaey

Mera Maqsad Yahan Rukna Nahi Bus Itna Socha Hai
Safar Se Paishtar Uss Ka Nazara'h Kar Liya Jaey

Hawaley Kar K Apna Jism Ik Din Taiz Lehron Se
Phir Uss K Baad Darya Se Kinara'h Kar Liya Jaey

Nadeem Us Shehar Mein Manoos Galyan Bhi Bohat Si Hein
Aur Ab Aaey Hein Tou In Ka Bhi Nazara'h Kar Liya Jaey


Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Kis Takalluf Se Hamein Zair-e-Amaan Rakha Gaya

Sad Ghazals Collection

کس تکلُّف سے ہمیں زیر ِ اماں رکّھا گیا
آہنی پنجرے میں اپنا آشیاں رکّھا گیا

ایک ہی زنجیر تھی ' اِس پار سے اُس پار تک
کَج رَوی کا کوئی وقفہ ہی کہاں رکّھا گیا

اب تو ہم آپس میں بھی مِلتے نہیں ' کُھلتے نہیں
کس بَلا کا خوف اپنے درمیاں رکّھا گیا

اُس کنارے کوئی اپنا منتظِر ہو ' یا نہ ہو
یہ بھی کیا کم ہے کہ اِتنا خوش گُماں رکّھا گیا

یُوسُف اِک خوشبُو بھرے پَل کی رفاقت پر ہمیں
...کتنی ویراں ساعتوں میں رایگاں رکّھا گیا

Kis Takalluf Se Hamein Zair-E-Amaan Rakha Gaya
Aa-Hani Pinjray Mein Apna Aashyaan Rakha Gaya

Aik He Zanjeer Thi, Iss Paar Se Uss Paar Tak
Kaj-Ravi Ka Koi Waqfa He Kahan Rakha Gaya

Ab Tou Hum Aapas Mein Bhi Miltey Nahi, Khultey Nahi
Kis Bala Ka Khof Apney Darmiyaan Rakha Gaya

Uss Kinarey Koi Apna Muntazir Ho , Ya Na Ho
Yeh Bhi Kia Kam Hai Ke'h Itna Khush Gumaan Rakha Gaya

Yousuf Ik Khushbu Bharey Pal Ki Rafaqat Par Hamein
Kitni Viraan Sa'aton Mein Raaigaan Rakha Gaya.....

Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It


Mein Iss Liye Aangan Ka Shajar Kaat Raha Tha


Sad Urdu Ghazals

میں اس لیے آنگن کا شجر کاٹ رہا تھا
 وہ حبس تھا کمروں میں کہ گھر کاٹ رہا تھا

لوگوں کو یہ خدشہ تھا کہ بنیاد غلط ہے
دیوار کو برسات کا ڈر کاٹ رہا تھا

کانٹوں سے نہیں آبلہ پائی کو شکایت
تلوئو ں کو تو بے فیض سفر کاٹ رہا تھا

ہر شخص مجھے صورتِ اخبار اٹھا کر
 صفحات سے مطلب کی خبر کاٹ رہا تھا

کہنے کو تو یوں میری انا قید تھی لیکن
دستار کو اندر سے ہی سرکاٹ رہا تھا

شہکا ر کا ثانی ہی نہ بن جائے کہیں اور
 ...اس خوف سے وہ دست ِ ہنر کاٹ رہا تھا
Mein Iss Liye Aangan Ka Shajar Kaat Raha Tha
Woh Habs Tha Kamro'n Mein Ke'h Ghar Kaat Raha Tha

Logon Ko Yeh Khadsha Tha K Bunyad Galat Hai
Diwaar Ko Barsaat Ka Dar Kaat Raha Tha

Kaanton Se Nahi Aabla Paaie Ko Shikayat
Talwon Ko Tou Be-Faiz Safar Kaat Raha Tha

Har Shakhs Mujhe Soorat-E-Akhbaar Utha Kar
Safhaat Se Matlab Ki Khabar Kaat Raha Tha

Kehne Ko Tou Youn Meri Anaa Qaid Thi Lekin
Dastaar Ko Andar Se He Sar Kaat Raha Tha

Shehkaar Ka Saani He Na Ban Jaey Kaheen Aur
Iss Khof Se Woh Dast-E-Hunar Kaat Raha Tha....

Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Dil Ne Dil Ka Lagaao Daikha Hai

Best Love Poetry

آؤ دیکھا نہ تاؤ دیکھا ہے
دل نے دل کا لگاؤ دیکھا ہے

میری انکھوں نے ساری دنیا میں
حسن کا رکھ رکھاؤ دیکھا ہے

ہم نے ہر وقت نازنینوں سے
عشق کا چل چلاؤ دیکھا ہے

انتخابات مین رقیبوں کا
دھاندلی سے چناؤ دیکھا ہے

اپنی برگشتہ طالعی کے طفیل
...دل پہ غم کا پڑاؤ دیکھا ہے
Aa'o Daikha Na Taa'o Daikha Hai
Dil Ne Dil Ka Lagaao Daikha Hai

Meri Aankhon Ne Sari Dunya Mein Hai
Husan Ka Rakh Rakhaao Daikha Hai

Hum Ne Har Waqt Nazneeno'n Se
Ishq Ka Chal-Chalaao Daikha Hai

Intakhbaat Mein Raqeebon Ka
Dhaandli Se Chunaao Daikha Hai

Apni Bar-Guzishta Tala'e K Tufail
Dil Pay Gham Ka Parraao Daikha Hai...

Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Ab K Apney Honton Pay Khokhli Duaaein Hein

Best Sad Poetry

بے قرار سانسوں میں گونجتی صدائیں ہیں
اب کے اپنے ہونٹوں پہ کھوکھلی دعائیں ہیں

بے حِسی کے مارے ہیں اپنے شہر کہ سب لوگ
پاؤں سے زمیں، سر سے کھینچتے ردائیں ہیں

تیری چاہتوں نے کل خواب کچھ دکھائے تھے
آج اپنی نیندوں کو ڈھونڈتی نگاہیں ہیں

آگہی کے رستوں پر صرف زخم ملتے ہیں
اس پہ چلتے رہنے کی انگنت سزائیں ہیں

ہاں وہ پچھلے موسم تھے جن میں پھول کھلتے تھے
 ...........زہر اب فضاؤں میں گھولتی ہوائیں ہیں
Beqarar Saanson Mein Goonjti Sadaein Hein
Ab K Apney Honton Pay Khokhli Duaaein Hein

Be-Hasi K Maray Hein Apne Shehar K Sab Log
Paon Se Zameen, Sar Se Khainchtey Ridaaein Hein

Teri Chahaton Ne Kal Khuwab Kuch Dikhaey Thay
Aaj Apni Neendon Ko Dhoondti Nigahein Hein

Aagahi K Rastey Par Sirf Zakhm Miltey Hein
Is Pay Chaltey Rehney Ki Un-Ginat Sazaein Hein

Han Woh Pichley Mosam Thay Jin Mein Phool Khiltey Thay
Zehar Ab Fizaaon Mein Gholti Hawaein Hein ........

Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Kaisi Dunya Basaey Phirta Hai

SMS Poetry Collection

ﮐﯿﺴﯽ ﺩﻧﯿﺎ ﺑﺴﺎﺋﮯ ﭘﮭﺮﺗﺎ ﮨﮯ
ﭼﮭﻮﮌ ﺍﭘﻨﮯ ﭘﺮﺍﺋﮯ ﭘﮭﺮﺗﺎ ﮨﮯ

ﺟﯿﺴﮯ ﺳﺐ ﮐﭽﮫ ﺍﺑﮭﯽ ﺳﻼﻣﺖ ﮨﻮ
ﺍﯾﺴﮯ ﺳﺐ ﮐﻮ ﺟﮕﺎﺋﮯ ﭘﮭﺮﺗﺎ ﮨﮯ

ﻭﻗﺖ ﻟﻮﭨﺎ ﮨﻮ ﺟﯿﺴﮯ ﮈﺍﮐﮯ ﻣﯿﮟ
ﺟﺐ ﺑﮭﯽ ﺩﯾﮑﮭﻮ ﮔﻨﻮﺍﺋﮯ ﭘﮭﺮﺗﺎ ﮨﮯ

ﺟﯿﺴﮯ ﺩﻧﯿﺎ ﻣﯿﮟ ﮐﭽﮫ ﺑﭽﺎ ﮨﯽ ﻧﮩﯿﮟ
ﺍﯾﺴﮯ ﺳﮕﺮﯾﭧ ﺟﻼﺋﮯ ﭘﮭﺮﺗﺎ ﮨﮯ

ﻣﺮ ﻧﮧ ﺟﺎﺋﮯ ﺗﮭﮑﻦ ﺳﮯ ﺗُﻮ صاحب
...ﺳﺮ ﭘﮧ ﻣﺎﺿﯽ ﺍُﭨﮭﺎﺋﮯ ﭘﮭﺮﺗﺎ ﮨﮯ

Kaisi Dunya Basaey Phirta Hai
Chhorr Apney Paraey Phirta Hai

Jaisay Sab Kuch Abhi Salamat Ho
Aisay Sab Ko Jagaey Phirta Hai

Waqt Loota Ho Jaisay Dakay Mein
Jab Bhi Dekho Ganwaey Phirta Hai

Jaisay Dunya Mein Kuch Bacha He Nahi
Aisay Cigrate Jalaey Phirta Hai

Mar Na Jaey Thakan Se Tu Sahib
Sar Pe Maazi Uthaey Phirta Hai ....

Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Hum Dasht K Baasi Hein Ay Shehar K Logo

Urdu Sad Ghazals

 ھم دشت کے باسی ھیں اے شہر کے لوگو
یہ روح پیاسی ہمیں ورثے میں ملی ہے

دکھ درد سے صدیوں کا تعلق ہے ہمارا
آنکھوں کی اداسی ہمیں ورثے میں ملی ہے

جوبات بھی کرتے ھیں اتر جاتی ہے دل میں
تاثیر جدا سی مجھے ورثے میں ملی ہے

جو ہاتھ بھی تھاما ہے سدا ساتھ رہا ہے
احباب شناسی ہمیں ورثے میں ملی ہے

جان دینا روایت ہے قبیلے کی ہماری
...یہ سرخ لباسی ہمیں ورثے میں ملی ہے

Hum Dasht K Baasi Hein Ay Shehar K Logo
Yeh Rooh Piyasi, Hame Virsay Mein Mili Hai

Dukh Dard Se Sadyon Ka Ta'alluq Hai Hamara
Aankhon Ki Udasi Hame Virsay Mein Mili Hai

Jaan Daina Riwayat Hai Qabeelay Ki Hamari
Yeh Surkh Libaasi, Hame Virsay Mein Mili Hai

Jo Baat Bhi Kehtey Hein Utar Jaati Hai Dil Mein
Ta'aseer Juda Si Hame Virsay Mein Mili Hai

Jo Hath Bhi Thama Hai Sada Sath Raha Hai
Ehbaab Shanaasi, Hame Virsay Mein Mili Hai...

Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Kiun Itni Lambi Hoti Hai Chaandni Raat Judai Ki

Great Judai Ghazals

ﺗﻨﮑﺎ ﺗﻨﮑﺎ ﮐﺎﻧﭩﮯ ﺗﻮﮌﮮ ﺳﺎﺭﯼ ﺭﺍﺕ ﮐﭩﺎﺋﯽ ﮐﯽ
ﮐﯿﻮﮞ ﺍﺗﻨﯽ ﻟﻤﺒﯽ ﮨﻮ ﺗﯽ ﮨﮯ، ﭼﺎﻧﺪﻧﯽ ﺭﺍﺕ ﺟُﺪﺍﺋﯽ ﮐﯽ

ﻧﯿﻨﺪ ﻣﯿﮟ ﮐﻮﺋﯽ ﺍﭘﻨﮯ ﺁﭖ ﺳﮯ  ﺑﺎﺗﯿﮟ ﮐﺮﺗﺎ ﺭﮨﺘﺎ ﮨﮯ
ﮐﺎﻝ ﮐﻨﻮﯾﮟ ﻣﯿﮟ ﮔﻮﻧﺠﺘﯽ ﮨﮯ، ﺁﻭﺍﺯ ﮐﺴﯽ ﺳﻮﺩﺍﺋﯽ ﮐﯽ

ﺳﯿﻨﮯ ﻣﯿﮟ ﺩِﻝ ﮐﯽ ﺁﮨﭧ، ﺟﯿﺴﮯ ﮐﻮﺋﯽ ﺟﺎﺳﻮﺱ ﭼﻠﮯ
ﮨﺮ ﺳﺎﺋﮯ ﮐﺎ ﭘﯿﭽﮭﺎ ﮐﺮﻧﺎ  ﻋﺎﺩﺕ ﮨﮯ ﮨﺮ ﺟﺎﺋﯽ ﮐﯽ

ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﺍﻭﺭ ﮐﺎﻧﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺳﻨﺎ ﭨﮯ ﺳﮯ ﺑﮭﺮ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ
...ﮐﯿﺎ ﺗﻢ ﻧﮯ ﺍُﮌﺗﯽ ﺩﯾﮑﮭﯽ ﮨﮯ، ﺭﯾﺖ ﮐﺒﮭﯽ ﺗﻨﮩﺎ ﺋﯽ ﮐﯽ


Tinka Tinka Kaantey Torrey Sari Raat Kataai Ki
Kiun Itni Lambi Hoti Hai , Chaandni Raat Judai Ki

Neend Mein Koi Apne Aap Se Baten Karta Rehta Hai
Kaal Kunwein Mein Goonjti Hai , Aawaaz Kisi Sodaai Ki

Seenay Mein Dil Ki Aahat , Jesey Koi Jasoos Chaley
Har Saaey Ka Peecha Karna Aadat Hai Harjaai Ki

Aankhon Aur Kano Mein Sannatey Se Bhar Jatey Hein
Kia Tum Ne Urrti Daikhi Hai , Rait Kabhi Tanhai Ki...

Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Din Phiray Hein Faqat Wazeeron K

Famous Urdu Poetry

وہی حالات ہیں فقیروں کے
دن پِھرے ہیں فقط وزیروں کے

اپنا حلقہ ہے حلقہٗء زنجیر
اور حلقے ہیں سب امیروں کے

ہر جواں ہے دیس کا مقروض
پاؤں ننگے ہیں بینظروں کے

وہی اہل وفا کی صورت حال
وارے نیارے ہیں بے ضمیروں کے

سازشیں ہیں وہی خلاف عوام
مشورے ہیں وہی مشیروں کے

بیڑیاں سامراج کی ہیں وہی
.....وہی دن رات ہیں اسیروں کے
Wahi Halaat Hein Faqeeron K
Din Phirey Hein Faqat Wazeeron K

Apna Halqa Hai Halqa-E-Zanjeer
Aur Halqay Hein Sab Ameeron K

Har Jawaan Hai Dais Ka Maqrooz
Paaon Nungay Hein Be-Nazeeron K

Wahi Hai Ehl-E-Wafa Ki Soorat-E-Haal
Warau Niyaray Hein Be-Zameeron K

Sazishein Hein Wahi Khilaf-E-Awaam
Mashwarey Hein Wahi Musheeron K

Bairriyaan Saamraj Ki Hein Wahi
Wahi Din Raat Hein Aseeron K.........


Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Yeh Q Hein Dooriyan Kuch Is Pe Guftugu KarLein

Love Urdu Ghazals

ملو کہ آج کوئی بات رو برو کرلیں
یہ کیوں ہیں دوریاں کچھ اس پر گفتگوکرلیں

کریں گے پھر ہی عبادت تمہارے چہرے کی
کہ پہلے آنکھوں کو اشکوں سے باوضوکرلیں

ذرا خیال نہ آیا ہمیں بچھڑنے کا
دلوں میں پیدا کوئی ایسی آرزو کرلیں

طویل فاصلے سمٹ بھی سکتے ہیں
 ....بس اِک بار جو تھوڑی سی جستجوکرلیں
Milo Ke'h Aaj Koi Baat Ru-Ba-Ru Karlein
Yeh Q Hein Dooriyan Kuch Is Pe Guftugu KarLein

Karen Gay Phir He Ibadat Tumhare Chehrey Ki
Ke'h Pehley Aankhon Ko Ashkon Se Ba-Wuzoo KarLein

Zara Khayal Na Aaya Hamein Bicharrney Ka
Dilon Mein Paida Koi Aisi Aarzoo KarLein

Taveel Faasley Simat Bhi Saktey Hein
Bus Ik Baar Jo Thorri Si Justujoo KarLein.....

Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Hum Bachatey Reh Gaey Deemak Se Apna Ghar

New Urdu Poetry


ہم بچاتے رہ گئے دیمک سے اپنا گھر مگر
کرسیوں کے چند کیڑے ملک سارا کھا گئے
 Hum Bachatey Reh Gaey Deemak Se Apna Ghar
Kursiyon K Chand Keerray Mulk Sara Khaa Gaey



Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It