Awais Poetry
 

Showing posts with label Kaisa Chheena Hai. Show all posts
Showing posts with label Kaisa Chheena Hai. Show all posts

Khuwab Meri Aankhon Se Kaisa Kaisa Chheena Hai

Best Khuwab Ghazals

خواب میری آنکھوں سے کیسا کیسا چھینا ہے
مفلسی سے بڑھ کر بھی کیا کوئی کمینہ ہے

روشنی کے مدفن میں خوشبوؤں کی میّت ہے
آرزُو کے آنگن میں درد کی حسینہ ہے

نا مُراد راتیں ہیں، بے ہدف اُجالے ہیں
ذلّتوں کے دوزخ میں اور کتنا جینا ہے؟

ریزہ ریزہ خوابوں کی کرچیوں کو چُن چُن کر
زہر زندگی کا یہ قطرہ قطرہ پینا ہے

جانے کون ہوتے ہیں جو مُراد پاتے ہیں
اپنے واسطے تو یہ تیرھواں مہینہ ہے

جانے کس زمانے میں اُجرتیں بھی ملتی تھیں
اب تو محنتوں کا عوض خُون اور پسینہ ہے

زر پرست بستی کی کیا حسیں ثقافت ہے
ہونٹ مسکراتے ہیں پر دلوں میں کِینہ ہے

خوف کے سمندر میں اضطراب کی موجیں
جن پہ بے یقینی کا، ڈولتا سفینہ ہے

روز اک اذیّت کے دشت سے گزرتا ہوں
نارسی کے تِیروں سے چھلنی میرا سِینہ ہے

کرب کے الاؤ میں شعلہ شعلہ جلتا ہوں
وحشتوں کی سنگت میں لمحہ لمحہ جینا ہے

شامِ زندگی سر پہ آ کھڑی ہے اور خود کو
....ریزہ ریزہ چُننا ہے، لخت لخت سِینا ہے
Khuwab Meri Aankhon Se Kaisa Kaisa Chheena Hai
Muflisi Se Barrh Kar Bhi Kia Koi Kamina Hai

Roshni K Madfaun Mein Khushbu’on Ki Mayyat Hai
Aarzoo K Aangan Mein Dard Ki Haseena Hai

Na Muraad Ratein Hein , Be-Hadaf Ujaaley Hein
Zillaton K Dozakh Mein Aur Kitna Jeena Hai ?

Raiza Raiza Khuwabon Ki Karchiyon Ko Chun Chun Kar
Zehar Zindagi Ka Yeh Qatra’h Qatra’h Peena Hai

Janey Kon Hotey Hein Jo Muraad Patey Hein
Apney Wastey Tou Yeh Tairhwaan Maheena Hai

Janey Kis Zamaney Mein Ujratein Bhi Milti Thi
Ab Tou Mehnaton K Awaz Khoon Aur Paseena Hai

Zar-Parast Basti Ki Kia Haseen Saqafat Hai
Hont Muskuratey Hein Par Dilon Mein Keena Hai

Khof K Samandar Mein Iztaraab Ki Moujein
Jin Pay Be-Yaqeeni Ka , Dolta Safeena Hai

Roz Ik Aziyat K Dusht Se Guzarta Hoon
Naarsi K Teeron Se Chhalni Mera Seena Hai

Qarb K Alaa’o Mein Shola Shola Jalta Hoon
Wehshaton Ki Sangat Mein Lamha Lamha Jeena Hai

Sham-E-Zindagi Sar Pe Aa-Kharri Hai Aur Khud Ko
Raiza’h Raiza’h Chunna Hai , Lakht Lakht Seena Hai...

Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It