Showing posts with label sms collection. Show all posts
Showing posts with label sms collection. Show all posts
Khuwab Meri Aankhon Se Kaisa Kaisa Chheena Hai
خواب میری آنکھوں سے کیسا کیسا چھینا ہے
مفلسی سے بڑھ کر بھی کیا کوئی کمینہ ہے
روشنی کے مدفن میں خوشبوؤں کی میّت ہے
آرزُو کے آنگن میں درد کی حسینہ ہے
نا مُراد راتیں ہیں، بے ہدف اُجالے ہیں
ذلّتوں کے دوزخ میں اور کتنا جینا ہے؟
ریزہ ریزہ خوابوں کی کرچیوں کو چُن چُن کر
زہر زندگی کا یہ قطرہ قطرہ پینا ہے
جانے کون ہوتے ہیں جو مُراد پاتے ہیں
اپنے واسطے تو یہ تیرھواں مہینہ ہے
جانے کس زمانے میں اُجرتیں بھی ملتی تھیں
اب تو محنتوں کا عوض خُون اور پسینہ ہے
زر پرست بستی کی کیا حسیں ثقافت ہے
ہونٹ مسکراتے ہیں پر دلوں میں کِینہ ہے
خوف کے سمندر میں اضطراب کی موجیں
جن پہ بے یقینی کا، ڈولتا سفینہ ہے
روز اک اذیّت کے دشت سے گزرتا ہوں
نارسی کے تِیروں سے چھلنی میرا سِینہ ہے
کرب کے الاؤ میں شعلہ شعلہ جلتا ہوں
وحشتوں کی سنگت میں لمحہ لمحہ جینا ہے
شامِ زندگی سر پہ آ کھڑی ہے اور خود کو
Khuwab Meri Aankhon Se Kaisa Kaisa Chheena Hai
Muflisi Se Barrh Kar Bhi Kia Koi Kamina Hai
Roshni K Madfaun Mein Khushbu’on Ki Mayyat Hai
Aarzoo K Aangan Mein Dard Ki Haseena Hai
Na Muraad Ratein Hein , Be-Hadaf Ujaaley Hein
Zillaton K Dozakh Mein Aur Kitna Jeena Hai ?
Raiza Raiza Khuwabon Ki Karchiyon Ko Chun Chun Kar
Zehar Zindagi Ka Yeh Qatra’h Qatra’h Peena Hai
Janey Kon Hotey Hein Jo Muraad Patey Hein
Apney Wastey Tou Yeh Tairhwaan Maheena Hai
Janey Kis Zamaney Mein Ujratein Bhi Milti Thi
Ab Tou Mehnaton K Awaz Khoon Aur Paseena Hai
Zar-Parast Basti Ki Kia Haseen Saqafat Hai
Hont Muskuratey Hein Par Dilon Mein Keena Hai
Khof K Samandar Mein Iztaraab Ki Moujein
Jin Pay Be-Yaqeeni Ka , Dolta Safeena Hai
Roz Ik Aziyat K Dusht Se Guzarta Hoon
Naarsi K Teeron Se Chhalni Mera Seena Hai
Qarb K Alaa’o Mein Shola Shola Jalta Hoon
Wehshaton Ki Sangat Mein Lamha Lamha Jeena Hai
Sham-E-Zindagi Sar Pe Aa-Kharri Hai Aur Khud Ko
Raiza’h Raiza’h Chunna Hai , Lakht Lakht Seena Hai...
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It
Bohat Gehra Hai Apna Tajirana Piyar Apas Mein
بہت گہرا ہے اپنا تاجرانہ پیار آپس میں
کہ ہم کرتے ہیں سمجھوتوں کا کاروبار آپس میں
کبھی ٹکرا بھی جاتے ہیں جو برتن ساتھ رہتے ہیں
ہماری ہو بھی جاتی ہے کبھی تکرار آپس میں
یہاں دو سوختہ دل بھی اکٹھے رہ نہیں پاتے
جڑے رہتے ہیں لیکن سینکڑوں کہسار آپس میں
بہت روئیں گے سناٹے ،یہ گھر جب چھوڑ جاؤ گے
بہت باتیں کریں گے یہ در و دیوار آپس میں
انا کو بیچ میں آئندہ ہم آنے نہیں دیں گے
یہ طے کر لیں کھلے دل سے چلو اک بار آپس میں
وہی نازک گھڑی ہوتی ہے ساجد پر زمانے کی
...جگہیں تبدیل جب کرتے ہیں پہرے دار آپس میں
Bohat Gehra Hai Apna Tajirana Piyar Apas Mein
Ke'h Hum Kartey Hein Samjhoton Ka Karobaar Apas Mein
Kabhi Takra Bhi Jatey Hein Jo Bartan Sath Rehtey Hein
Hamari Ho Bhi Jati Hai Kabhi Takraar Apas Mein
Yahan Dou Sokhta Dil Bhi Ikathay Reh Nahi Paatey
Jurrey Rehtey Hein Lekin Sainkrron Kohsaar Apas Mein
Bohat Roein Gay Sannatey, Yeh Ghar Jab Chorr Jao Gay
Bohat Batein Karen Gay Yeh Dar-O-Diwaar Apas Mein
Ana Jo Beech Mein Hum Aaeinda'h Hum Aney Nahi Dein Gay
Yeh Tay Kar Lein Khuley Dil Se Chalo Ik Baar Apas Mein
Wohi Nazuk Gharri Hoti Hai Sajid Par Zamaney Ki
Jaghein Tabdeel Jab Kartey Hein Pehray Daar Apas Mein...
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It