میں لے گیا تھا کشتی جہاں سے نکال کر
لے جائیں پھر ھوائیں وھیں ٹھیل ٹھال کر
پھر باٹ اور ترازو اٹھا لائے ھیں عزیز
پہلے انہیں دکھا دوں وفا تول تال کر
مجھ کو ستا رھے ھیں شبِ غم کےشین غین
استاد کہہ رھے ھیں الف کو وصال کر
اک چڑیا رہ گئی ھے انا کے درخت پر
افلاس کہہ رہا ھے اسے بھی حلال کر
پھر میں نے پھول بوئے کنارے کی ریت میں
....مایوس ہو گیا تھا سمندر کھنگال کر
Mein Lay Gaya Tha Kashti Jahan Se Nikaal Kar
Lay Jaen Phir Hawaei'n Mujhe Thail Thaakl Kar
Phir Baat Aur Tarazoo Utha Laey Hein Azeez
Pehlay Uneh Dikha Doon Wafa Tol Taal Kar
Mujhko Sata Rahey Hein Shab-E-Gham K Sheen Gain
Ustaad Keh Rahey Hein Alif Ko Visaal Kar
Ik Chirrya Reh Gai Hai Anaa Ka Darakht Par
Aflaas Keh Raha Hai Issay Bhi Halaal Kar
Phir Mein Ne Phool Boey Kinaray Ki Rait Mein
Mayoos Hogaya Tha Samandar Khangaal Kar......
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It