Showing posts with label Sad Shyri. Show all posts
Showing posts with label Sad Shyri. Show all posts
Zard Mosam Ki Aziyat Bhi Uthane Ka Nahi
زرد موسم کی اذّیت بھی اُٹھانے کا نہیں
میں درختوں کی جگہ خود کو لگانے کا نہیں
اب ترے ساتھ تعلق کی گزرگاہوں پر
وقت مشکل ہے،مگرہاتھ چھڑانے کا نہیں
جادہء صبر مرے عشق کی زینت ٹھہرا
سومیں آنکھوں سےکوئی اشک بہانےکا نہیں
قریہ سبز سے آتی ہوئی پر کیف ہوا
طاق پر رکھا مرا دیپ بجھانے کا نہیں
میں ہدف ہوں ،مگر اس آنکھ کے پیکان کا ہوں
دیکھ دنیا میں کسی اور نشانے کا نہیں
چل رہا تھا تو سبھی لوگ مرے بازو تھے
گر پڑا ہوں تو کوئ دوست اٹھانے کا نہیں
عشق ہے اور رگ و پے میں سمایا ہے سعید
اور یہ روگ مری جان سے جانے کا نہیں
Zard Mosam Ki Aziyat Bhi Uthaney Ka Nahi
Mein Darakhton Ki Jagah Khud Ko Laganey Ka Nahi
Ab Terey Sath Ta'alluq Ki Guzar Gaahon Par
Waqt Mushkil Hai, Magar Hath Churraney Ka Nahi
Jadha-E-Sabar Merey Ishq Ki Zeenat Thehra
So Mein Aankhon Se Koi Ashk Bahaney Ka Nahi
Qarya-E-Sabz Se Aati Hui Pur Qaif Hawa
Taaq Par Rakha Mera Deep Bujhaney Ka Nahi
Mein Hadaf Hoon Magar Us Aankh K Pekan Ka Hoon
Daikh Dunya Mein Kisi Aur Thikaney Ka Nahi
Chal Raha Tha Tou Sabhi Log Merey Bazoo Thay
Gir Parra Hoon Tou Koi Dost Uthaney Ka Nahi
Ishq Hai Aur Rag-O-Pay Mein Samaya Hai Saeed
Aur Yeh Rog Meri Jaan Se Janey Ka Nahi...
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It
Din Phiray Hein Faqat Wazeeron K
وہی حالات ہیں فقیروں کے
دن پِھرے ہیں فقط وزیروں کے
اپنا حلقہ ہے حلقہٗء زنجیر
اور حلقے ہیں سب امیروں کے
ہر جواں ہے دیس کا مقروض
پاؤں ننگے ہیں بینظروں کے
وہی اہل وفا کی صورت حال
وارے نیارے ہیں بے ضمیروں کے
سازشیں ہیں وہی خلاف عوام
مشورے ہیں وہی مشیروں کے
بیڑیاں سامراج کی ہیں وہی
Wahi Halaat Hein Faqeeron K
Din Phirey Hein Faqat Wazeeron K
Apna Halqa Hai Halqa-E-Zanjeer
Aur Halqay Hein Sab Ameeron K
Har Jawaan Hai Dais Ka Maqrooz
Paaon Nungay Hein Be-Nazeeron K
Wahi Hai Ehl-E-Wafa Ki Soorat-E-Haal
Warau Niyaray Hein Be-Zameeron K
Sazishein Hein Wahi Khilaf-E-Awaam
Mashwarey Hein Wahi Musheeron K
Bairriyaan Saamraj Ki Hein Wahi
Wahi Din Raat Hein Aseeron K.........
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It
Yeh Q Hein Dooriyan Kuch Is Pe Guftugu KarLein
ملو کہ آج کوئی بات رو برو کرلیں
یہ کیوں ہیں دوریاں کچھ اس پر گفتگوکرلیں
کریں گے پھر ہی عبادت تمہارے چہرے کی
کہ پہلے آنکھوں کو اشکوں سے باوضوکرلیں
ذرا خیال نہ آیا ہمیں بچھڑنے کا
دلوں میں پیدا کوئی ایسی آرزو کرلیں
طویل فاصلے سمٹ بھی سکتے ہیں
....بس اِک بار جو تھوڑی سی جستجوکرلیں
Milo Ke'h Aaj Koi Baat Ru-Ba-Ru Karlein
Yeh Q Hein Dooriyan Kuch Is Pe Guftugu KarLein
Karen Gay Phir He Ibadat Tumhare Chehrey Ki
Ke'h Pehley Aankhon Ko Ashkon Se Ba-Wuzoo KarLein
Zara Khayal Na Aaya Hamein Bicharrney Ka
Dilon Mein Paida Koi Aisi Aarzoo KarLein
Taveel Faasley Simat Bhi Saktey Hein
Bus Ik Baar Jo Thorri Si Justujoo KarLein.....
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It
Mohabbat Goliyon Se Bo Rahey Ho
محبت گولیوں سے بو رہے ہو
وطن کا چہرہ خون سے دھو رہے ہو
گماں تم کو کہ رستہ کٹ رہا ہے
یقیں مجھکو کہ منزل کھو رہے ہو
Mohabbat Goliyon Se Bo Rahey Ho
Watan Ka Chehra Khoon Se Dho Rahey Ho
Gumaa'n Tum Ko Ke'h Rasta Kat Raha Hai
Yaqeen Mujhko Ke'h Manzil Kho Rahey Ho
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It
Aik Aansoo Nahi Hai Ronay Ko
اور کیا رہ گیا ہے ہونے کو
ایک آنسو نہیں ہے رونے کو
خواب اچھے رہیں گے اندیکھے
خاک اچھی رہے گی سونے کو
یہ مہ و سال چند باقی ہیں
اور کچھ بھی نہیں ہے کھونے کو
نارسائی کا رنج لائے ہیں
تیرے دل میں کہیں سمونے کو
چشم_نم ، چار اشک اور ادھر
داغ اک رہ گیا ہے دھونے کو
بیٹھنے کو جگہ نہیں ملتی
کیا کریں اوڑھنے بچھونے کو
تو کہیں بیٹھ اور حکم چلا
ہم تو ہیں تیرا بوجھ ڈھونے کو
یاد بھی تیری مٹ گیی دل سے
Aur Kia Reh Gaya Hai Honey Ko
Aik Aansoo Nahi Hai Roney Ko
Khuwaab Achay Rahein Gay Un Daikhey
Khaak Achi Rahey Gi Soney Ko
Yeh May Wa-Saal Chand Baqi Hein
Aur Kuch Bhi Nahi Hai Khoney Ko
Naar Saai Ka Ranj Laaey Hein
Terey Dil Mein Kaheen Samoney Ko
Chashm-E-Num , Chaar Ashk Aur Idhar
Daagh Ik Reh Gaya Hai Dhoney Ko
Baithney Ko Jaga Nahi Milti
Kia Karen Orrhney Bichoney Ko
Tu Kaheen Baith Aur Hukum Chala
Hum Tou Hein Tera Bojh Dhoney Ko
Yaad Bhi Teri Mitt Gai Dil Se
Aur Kia Reh Gaya Hai Honey Ko.....
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It
Janay Kissay Mein Chorr K Janay Ki Dhun Mein Hoon
ہر لمحہ ایک اور زمانے کی دُھن میں ہُوں
آیا ہوں جب سے مَیں کہیں جانے کی دُھن میں ہُوں
افسُردگی کا نام نہ دو دوستو اِسے
میں دوسرا چراغ جلانے کی دُھن میں ہُوں
تھک کر گِرا ہوں اَور نہ بیٹھا ہوں ہار کے
مَیں اپنا بَوجھ آپ اُٹھانے کی دُھن میں ہُوں
چاہے کوئی خزاں زدہ اُس پار ہو نہ ہو
دریا میں چند پھول بہانے کی دُھن میں ہُوں
میرے سوا تو کوئی نہیں میرے آس پاس
Har Lamha Aik Aur Zamaney Ki Dhun Mein Hoon
Aaya Hoon Jab Se Mein Kaheen Janay Ki Dhun Mein Hoon
Afsurdagi Ka Naam Na Do Dosto Issay
Mein Doosra Charaagh Jalaney Ki Dhun Mein Hoon
Thak Kar Gira Aur Na Baitha Hoon Haar K
Mein Apna Boojh Aap Uthaney Ki Dhun Mein Hoon
Chahey Koi Khizaan Zada'h Uss Paar Ho Na Ho
Darya Mein Chand Phool Bahaney Ki Dhun Mein Hoon
Merey Siwa Tou Koi Nahi Merey Aas Paas
Janay Kissay Mein Chorr K Janay Ki Dhun Mein Hoon...
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It
Mein So Gaya Tha Raat Kahani K Beech Mein
کشتی الٹ گئی میری پانی کے بیچ میں
میں سو گیا تھا رات کہانی کے بیچ میں
میرے تمہارے خواب پڑے ہیں یہیں کہیں
خواجہ سراؤ راجاؤ رانی کے بیچ میں
جس بات سے گریز تھا شرط وصال شب
میں کہ گیا وہ بات روانی کے بیچ میں
بس اس لئے سنبھال کے رکھے ہیں تیرے خط
اک خواب جاگتا ہے نشانی کے بیچ میں
وہ اظطراب عشق تھا ہم دان کر گئے
....دل سی حسین چیز جوانی کے بیچ میں
Kashti Ulat Gayi Meri Paani Ke Beech Mein
Main So Gaya Tha Raat Kahaani Ke Beech Mein
Mere Tumhaaray Khuwaab Parre Hain Yaheen Kaheen
Khuwaaja-Sara-0-Raja-0-Raani K Beech Mein
Jis Baat Se Guraiz Tha Shart-E-Wisaal-E-Shab
Main Keh Gaya W0 Baat Rawaani K Beech Mein
Bus Is Liye Sambhaal K Rakhe Hain Tere Khatt
Ek Khuwaab Jaagta Hai Nishaani K Beech Mein
Woh Iztaraab-E-Ishq Tha Hum Daan Kar Chuke
Dil Si Hasseen Cheez Jawaani K Beech Mein..
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It
Girtey Hein Sheh-Sawaar He Maidan-E-Jung Mein
گرتے ہیں شہسوار ہی میدانِ جنگ میں
وہ طفل کیا گرے گا جو گٹنوں کے بل چلے
Girtey Hein Sheh-Sawaar He Maidan-E-Jung Mein
Woh Tifil Kia Girey Ga Jo Gutno K Bal Chalay
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It - See more at: http://www.sajidpoetry.com/2014/09/Hamari-Umar-Tumhare-Bagair-Beet-Gai.html#sthash.nniKDtvl.dpuf
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It - See more at: http://www.sajidpoetry.com/2014/09/Hamari-Umar-Tumhare-Bagair-Beet-Gai.html#sthash.nniKDtvl.dpuf
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It
- See more at: http://www.sajidpoetry.com/2014/09/Lout-Kar-Waqt-Na-Aaya-Meray-Bachpan-Ki-Tarah.html?showComment=1412102314827#c768801718641420442