Showing posts with label New Poetry. Show all posts
Showing posts with label New Poetry. Show all posts
Tumhara Ishq Mera Aakhri Sahara Hai
کبھی درخت کبھی جھیل کا کنارا ہے
یہ ہجر ہے کہ محبت کا استعارا ہے
تم آئو اور کسی روز اس کو لے جائو
بس ایک سانس ہے اِس پر بھی حق تمہارا ہے
خدائے عشق گلہ تجھ سے ہے جہاں سے نہیں
مرے لہو میں محبت کو کیوں اُتارا ہے
یہ سوچ لینا مجھے چھوڑنے سے پہلے تم
تمہارا عشق مرا آخری سہارا ہے
ابھی تو کھال اُدھڑنی ہے اِس تماشے میں
...ابھی دھمال میں جوگی نے سانس ہارا ہے
Kabhi Darakht Kabhi Jheel Ka Kinara Hai
Yeh Hijr Hai Ke'h Mohabbat Ka Issta'ara Hai
Tum Aao Aur Kisi Roz Us Ko Lay Jao
Bus Aik Saans Hai Iss Par Bhi Haq Tumhara Hai
Khuda-E-Ishq Gila Tujhse Hai Jahaan Se Nahi
Merey Lahoo Mein Mohabbat Ko Kiun Utara Hai
Yeh Soch Laina Mujhe Chhorrney Se Pehley Tum
Tumhara Ishq Mera Aakhri Sahara Hai
Abhi Tou Khaal Udharrni Hai Iss Tamashey Mein
Abhi Dhamaal Mein Jogi Ne Saans Hara Hai...
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It
Bohat Gehra Hai Apna Tajirana Piyar Apas Mein
بہت گہرا ہے اپنا تاجرانہ پیار آپس میں
کہ ہم کرتے ہیں سمجھوتوں کا کاروبار آپس میں
کبھی ٹکرا بھی جاتے ہیں جو برتن ساتھ رہتے ہیں
ہماری ہو بھی جاتی ہے کبھی تکرار آپس میں
یہاں دو سوختہ دل بھی اکٹھے رہ نہیں پاتے
جڑے رہتے ہیں لیکن سینکڑوں کہسار آپس میں
بہت روئیں گے سناٹے ،یہ گھر جب چھوڑ جاؤ گے
بہت باتیں کریں گے یہ در و دیوار آپس میں
انا کو بیچ میں آئندہ ہم آنے نہیں دیں گے
یہ طے کر لیں کھلے دل سے چلو اک بار آپس میں
وہی نازک گھڑی ہوتی ہے ساجد پر زمانے کی
...جگہیں تبدیل جب کرتے ہیں پہرے دار آپس میں
Bohat Gehra Hai Apna Tajirana Piyar Apas Mein
Ke'h Hum Kartey Hein Samjhoton Ka Karobaar Apas Mein
Kabhi Takra Bhi Jatey Hein Jo Bartan Sath Rehtey Hein
Hamari Ho Bhi Jati Hai Kabhi Takraar Apas Mein
Yahan Dou Sokhta Dil Bhi Ikathay Reh Nahi Paatey
Jurrey Rehtey Hein Lekin Sainkrron Kohsaar Apas Mein
Bohat Roein Gay Sannatey, Yeh Ghar Jab Chorr Jao Gay
Bohat Batein Karen Gay Yeh Dar-O-Diwaar Apas Mein
Ana Jo Beech Mein Hum Aaeinda'h Hum Aney Nahi Dein Gay
Yeh Tay Kar Lein Khuley Dil Se Chalo Ik Baar Apas Mein
Wohi Nazuk Gharri Hoti Hai Sajid Par Zamaney Ki
Jaghein Tabdeel Jab Kartey Hein Pehray Daar Apas Mein...
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It
Dil Ne Dil Ka Lagaao Daikha Hai
آؤ دیکھا نہ تاؤ دیکھا ہے
دل نے دل کا لگاؤ دیکھا ہے
میری انکھوں نے ساری دنیا میں
حسن کا رکھ رکھاؤ دیکھا ہے
ہم نے ہر وقت نازنینوں سے
عشق کا چل چلاؤ دیکھا ہے
انتخابات مین رقیبوں کا
دھاندلی سے چناؤ دیکھا ہے
اپنی برگشتہ طالعی کے طفیل
Aa'o Daikha Na Taa'o Daikha Hai
Dil Ne Dil Ka Lagaao Daikha Hai
Meri Aankhon Ne Sari Dunya Mein Hai
Husan Ka Rakh Rakhaao Daikha Hai
Hum Ne Har Waqt Nazneeno'n Se
Ishq Ka Chal-Chalaao Daikha Hai
Intakhbaat Mein Raqeebon Ka
Dhaandli Se Chunaao Daikha Hai
Apni Bar-Guzishta Tala'e K Tufail
Dil Pay Gham Ka Parraao Daikha Hai...
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It
Kiun Itni Lambi Hoti Hai Chaandni Raat Judai Ki
ﺗﻨﮑﺎ ﺗﻨﮑﺎ ﮐﺎﻧﭩﮯ ﺗﻮﮌﮮ ﺳﺎﺭﯼ ﺭﺍﺕ ﮐﭩﺎﺋﯽ ﮐﯽ
ﮐﯿﻮﮞ ﺍﺗﻨﯽ ﻟﻤﺒﯽ ﮨﻮ ﺗﯽ ﮨﮯ، ﭼﺎﻧﺪﻧﯽ ﺭﺍﺕ ﺟُﺪﺍﺋﯽ ﮐﯽ
ﻧﯿﻨﺪ ﻣﯿﮟ ﮐﻮﺋﯽ ﺍﭘﻨﮯ ﺁﭖ ﺳﮯ ﺑﺎﺗﯿﮟ ﮐﺮﺗﺎ ﺭﮨﺘﺎ ﮨﮯ
ﮐﺎﻝ ﮐﻨﻮﯾﮟ ﻣﯿﮟ ﮔﻮﻧﺠﺘﯽ ﮨﮯ، ﺁﻭﺍﺯ ﮐﺴﯽ ﺳﻮﺩﺍﺋﯽ ﮐﯽ
ﺳﯿﻨﮯ ﻣﯿﮟ ﺩِﻝ ﮐﯽ ﺁﮨﭧ، ﺟﯿﺴﮯ ﮐﻮﺋﯽ ﺟﺎﺳﻮﺱ ﭼﻠﮯ
ﮨﺮ ﺳﺎﺋﮯ ﮐﺎ ﭘﯿﭽﮭﺎ ﮐﺮﻧﺎ ﻋﺎﺩﺕ ﮨﮯ ﮨﺮ ﺟﺎﺋﯽ ﮐﯽ
ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﺍﻭﺭ ﮐﺎﻧﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺳﻨﺎ ﭨﮯ ﺳﮯ ﺑﮭﺮ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ
Tinka Tinka Kaantey Torrey Sari Raat Kataai Ki
Kiun Itni Lambi Hoti Hai , Chaandni Raat Judai Ki
Neend Mein Koi Apne Aap Se Baten Karta Rehta Hai
Kaal Kunwein Mein Goonjti Hai , Aawaaz Kisi Sodaai Ki
Seenay Mein Dil Ki Aahat , Jesey Koi Jasoos Chaley
Har Saaey Ka Peecha Karna Aadat Hai Harjaai Ki
Aankhon Aur Kano Mein Sannatey Se Bhar Jatey Hein
Kia Tum Ne Urrti Daikhi Hai , Rait Kabhi Tanhai Ki...
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It
Din Phiray Hein Faqat Wazeeron K
وہی حالات ہیں فقیروں کے
دن پِھرے ہیں فقط وزیروں کے
اپنا حلقہ ہے حلقہٗء زنجیر
اور حلقے ہیں سب امیروں کے
ہر جواں ہے دیس کا مقروض
پاؤں ننگے ہیں بینظروں کے
وہی اہل وفا کی صورت حال
وارے نیارے ہیں بے ضمیروں کے
سازشیں ہیں وہی خلاف عوام
مشورے ہیں وہی مشیروں کے
بیڑیاں سامراج کی ہیں وہی
Wahi Halaat Hein Faqeeron K
Din Phirey Hein Faqat Wazeeron K
Apna Halqa Hai Halqa-E-Zanjeer
Aur Halqay Hein Sab Ameeron K
Har Jawaan Hai Dais Ka Maqrooz
Paaon Nungay Hein Be-Nazeeron K
Wahi Hai Ehl-E-Wafa Ki Soorat-E-Haal
Warau Niyaray Hein Be-Zameeron K
Sazishein Hein Wahi Khilaf-E-Awaam
Mashwarey Hein Wahi Musheeron K
Bairriyaan Saamraj Ki Hein Wahi
Wahi Din Raat Hein Aseeron K.........
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It
Yeh Q Hein Dooriyan Kuch Is Pe Guftugu KarLein
ملو کہ آج کوئی بات رو برو کرلیں
یہ کیوں ہیں دوریاں کچھ اس پر گفتگوکرلیں
کریں گے پھر ہی عبادت تمہارے چہرے کی
کہ پہلے آنکھوں کو اشکوں سے باوضوکرلیں
ذرا خیال نہ آیا ہمیں بچھڑنے کا
دلوں میں پیدا کوئی ایسی آرزو کرلیں
طویل فاصلے سمٹ بھی سکتے ہیں
....بس اِک بار جو تھوڑی سی جستجوکرلیں
Milo Ke'h Aaj Koi Baat Ru-Ba-Ru Karlein
Yeh Q Hein Dooriyan Kuch Is Pe Guftugu KarLein
Karen Gay Phir He Ibadat Tumhare Chehrey Ki
Ke'h Pehley Aankhon Ko Ashkon Se Ba-Wuzoo KarLein
Zara Khayal Na Aaya Hamein Bicharrney Ka
Dilon Mein Paida Koi Aisi Aarzoo KarLein
Taveel Faasley Simat Bhi Saktey Hein
Bus Ik Baar Jo Thorri Si Justujoo KarLein.....
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It
Janay Kissay Mein Chorr K Janay Ki Dhun Mein Hoon
ہر لمحہ ایک اور زمانے کی دُھن میں ہُوں
آیا ہوں جب سے مَیں کہیں جانے کی دُھن میں ہُوں
افسُردگی کا نام نہ دو دوستو اِسے
میں دوسرا چراغ جلانے کی دُھن میں ہُوں
تھک کر گِرا ہوں اَور نہ بیٹھا ہوں ہار کے
مَیں اپنا بَوجھ آپ اُٹھانے کی دُھن میں ہُوں
چاہے کوئی خزاں زدہ اُس پار ہو نہ ہو
دریا میں چند پھول بہانے کی دُھن میں ہُوں
میرے سوا تو کوئی نہیں میرے آس پاس
Har Lamha Aik Aur Zamaney Ki Dhun Mein Hoon
Aaya Hoon Jab Se Mein Kaheen Janay Ki Dhun Mein Hoon
Afsurdagi Ka Naam Na Do Dosto Issay
Mein Doosra Charaagh Jalaney Ki Dhun Mein Hoon
Thak Kar Gira Aur Na Baitha Hoon Haar K
Mein Apna Boojh Aap Uthaney Ki Dhun Mein Hoon
Chahey Koi Khizaan Zada'h Uss Paar Ho Na Ho
Darya Mein Chand Phool Bahaney Ki Dhun Mein Hoon
Merey Siwa Tou Koi Nahi Merey Aas Paas
Janay Kissay Mein Chorr K Janay Ki Dhun Mein Hoon...
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It
Mein So Gaya Tha Raat Kahani K Beech Mein
کشتی الٹ گئی میری پانی کے بیچ میں
میں سو گیا تھا رات کہانی کے بیچ میں
میرے تمہارے خواب پڑے ہیں یہیں کہیں
خواجہ سراؤ راجاؤ رانی کے بیچ میں
جس بات سے گریز تھا شرط وصال شب
میں کہ گیا وہ بات روانی کے بیچ میں
بس اس لئے سنبھال کے رکھے ہیں تیرے خط
اک خواب جاگتا ہے نشانی کے بیچ میں
وہ اظطراب عشق تھا ہم دان کر گئے
....دل سی حسین چیز جوانی کے بیچ میں
Kashti Ulat Gayi Meri Paani Ke Beech Mein
Main So Gaya Tha Raat Kahaani Ke Beech Mein
Mere Tumhaaray Khuwaab Parre Hain Yaheen Kaheen
Khuwaaja-Sara-0-Raja-0-Raani K Beech Mein
Jis Baat Se Guraiz Tha Shart-E-Wisaal-E-Shab
Main Keh Gaya W0 Baat Rawaani K Beech Mein
Bus Is Liye Sambhaal K Rakhe Hain Tere Khatt
Ek Khuwaab Jaagta Hai Nishaani K Beech Mein
Woh Iztaraab-E-Ishq Tha Hum Daan Kar Chuke
Dil Si Hasseen Cheez Jawaani K Beech Mein..
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It
Girtey Hein Sheh-Sawaar He Maidan-E-Jung Mein
گرتے ہیں شہسوار ہی میدانِ جنگ میں
وہ طفل کیا گرے گا جو گٹنوں کے بل چلے
Girtey Hein Sheh-Sawaar He Maidan-E-Jung Mein
Woh Tifil Kia Girey Ga Jo Gutno K Bal Chalay
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It - See more at: http://www.sajidpoetry.com/2014/09/Hamari-Umar-Tumhare-Bagair-Beet-Gai.html#sthash.nniKDtvl.dpuf

- See more at: http://www.sajidpoetry.com/2014/09/Lout-Kar-Waqt-Na-Aaya-Meray-Bachpan-Ki-Tarah.html?showComment=1412102314827#c768801718641420442Lout Kar Waqt Na Aaya Meray Bachpan Ki Tarah
گھر بھی سونا ہے میری زیست کے آنگن کی طرح
لوٹ کر وقت نہ آیا میرے بچپن کی طرح
گردش وقت کے روندے ہوءے انسانوں کا
کوی مصرف نہیں ٹوٹے ہوءے برتن کی طرح
مجھ کو غربت نے ڈسا اس کو ہوس مار گءی
بک گیا وہ بھی بہر حال میرے فن کی طرح
آپ چھم سے جو تصور میں چلے آءے کبھی
دل دھڑکنے لگا بجتی ہوءی جھانجن کی طرح
کچھ میرا ذوق سماعت بھی بہک جاتا ہے
کچھ تیرے پاوں کی آہٹ بھی ہے دھڑکن کی طرح
کر کے گھاءل مجھے اس کا بھی برا حال ہوا
اس کی زلفیں بھی نہ سلجھیں میری الجھن کی طرح
جانے کیا بات ہے جلتا ہے حسد کرتا ہے
غم دنیا ، غم محبوب سے سوکن کی طرح
برق گرنے کا جہاں ناز بہت خطرہ تھا
.....ہم نے ڈالی اسی ڈالی پہ نشیمن کی طرح
Ghar Bhi Soona Hai Meri Zeest K Aangan Ki Tarha
Lout Kar Waqt Na Aaya Meray Bachpan Ki Tarha
Gardish-E-Waqt K Ronday Huey Insaano Ka
Koi Muraf Nahi Tootay Huey Bartan Ki Tarha
Mujhko Gurbat Ne Dassa Usko Hawas Maar Gai
Bik Gaya Woh Bhi Bahar Haal Merey Fun Ki Tarha
Aap Chham Se Jo Tasawur Mein Chalay Aaey Kabhi
Dil Dharrakne Laga Bajti Hui Jhanjan Ki Tarha
Kuch Mera Zoq-E-Sama'at Bhi Behak Jata Hai
Kuch Terey Paaon Ki Aahat Bhi Hai Dharrkan Ki Tarha
Kar K Ghayal Mujhe Us Ka Bhi Bura Haal Hua
Uski Zulfein Bhi Na Suljhi Meri Uljhan Ki Tarha
Janay Kia Baat Hai Jalta Hai Hasad Karta Hai
Gham-E-Dunya , Gham-E-Mehboob Se Sokan Ki Tarha
Barq Girney Ka Jahan Naaz Bohat Khatra Tha
Hum Ne Daali Ussi Daali Pay Nasheman Ki Tarha......
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It - See more at: http://www.sajidpoetry.com/2014/09/Hamari-Umar-Tumhare-Bagair-Beet-Gai.html#sthash.nniKDtvl.dpuf
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It - See more at: http://www.sajidpoetry.com/2014/09/Hamari-Umar-Tumhare-Bagair-Beet-Gai.html#sthash.nniKDtvl.dpuf
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It - See more at: http://www.sajidpoetry.com/2014/09/Hamari-Umar-Tumhare-Bagair-Beet-Gai.html#sthash.nniKDtvl.dpuf
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It - See more at: http://www.sajidpoetry.com/2014/09/Hamari-Umar-Tumhare-Bagair-Beet-Gai.html#sthash.nniKDtvl.dpuf
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It - See more at: http://www.sajidpoetry.com/2014/09/Hamari-Umar-Tumhare-Bagair-Beet-Gai.html#sthash.nniKDtvl.dpuf Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It - See more at: http://www.sajidpoetry.com/2014/09/Hamari-Umar-Tumhare-Bagair-Beet-Gai.html#sthash.nniKDtvl.dpuf Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It - See more at: http://www.sajidpoetry.com/2014/09/Hamari-Umar-Tumhare-Bagair-Beet-Gai.html#sthash.nniKDtvl.dpuf Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It - See more at: http://www.sajidpoetry.com/2014/09/Hamari-Umar-Tumhare-Bagair-Beet-Gai.html#sthash.nniKDtvl.dpuf
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It - See more at: http://www.sajidpoetry.com/2014/09/Mayaar-Girta-Na-Doston-Ka-Na-Hum-Bhi-Dushman-Ki-Dhaal-Hotey.html#sthash.38Me1sqj.dpuf