ﻣﻌﯿﺎﺭ ﺍﭘﻨﺎ ﮨﻢ ﻧﮯ ﮔﺮﺍﯾﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺒﮭﯽ
ﺟﻮ ﮔﺮ ﮔﯿﺎ ﻧﻈﺮ ﺳﮯ ﻭﮦ ﺑﮭﺎﯾﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺒﮭﯽ
ﺣﺮﺹ ﻭﮨﻮﺱ ﮐﻮ ﮨﻢ ﻧﮯ ﺑﻨﺎﯾﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﺷﻌﺎﺭ
ﺍﻭﺭ ﺍﭘﻨﺎ ﺍﻋﺘﺒﺎﺭ ﮔﻨﻮﺍﯾﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺒﮭﯽ
ﮨﻢ ﺁﺷﻨﺎ ﺗﮭﮯ ﻣﻮﺟﻮﮞ ﮐﮯ ﺑﺮﮨﻢ ﻣﺰﺍﺝ ﺳﮯ
ﭘﺎﻧﯽ ﭘﮧ ﮐﻮﺋﯽ ﻧﻘﺶ ﺑﻨﺎﯾﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺒﮭﯽ
ﺍﮎ ﺑﺎﺭﺍﺱ ﮐﯽﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺩﯾﮑﮭﯽ ﺗﮭﯽﺑﮯ ﺭﺧﯽ
ﭘﮭﺮ ﺍﺱ ﮐﮯ ﺑﻌﺪ ﯾﺎﺩ ﻭﮦ ﺁﯾﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺒﮭﯽ
ﺗﻨﮩﺎﺋﯿﻮﮞ ﮐﺎ ﺭﺍﺝ ﮨﮯ ﺩﻝ ﻣﯿﮟ ﺗﻤﮩﺎﺭﮮ ﺑﻌﺪ
ﮨﻢ ﻧﮯ ﮐﺴﯽ ﮐﻮ ﺍﺱ ﻣﯿﮟ ﺑﺴﺎﯾﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺒﮭﯽ
ﺗﺴﻨﯿﻢ ﺟﯽ ﺭﮨﮯ ﮨﯿﮟ ﺑﮍﮮ ﺣﻮﺻﻠﮯ ﮐﮯ ﺳﺎﺗﮫ
ﻧﺎﮐﺎﻣﯿﻮﮞ ﭘﮧ ﺷﻮﺭ ﻣﭽﺎﯾﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺒﮭﯽ...
Mayaar Hum Ne Apna Giraya Nahi Kabhi
Jo Gir Gaya Nazar Se Woh Bhaya Nahi Kabhi
Hars-O-Hawas Ko Hum Ne Banaya Nahi Shua'ar
Aur Apna Aitbaar Ganwaya Nahi Kabhi
Hum Aashna Thay Mojon K Barhum Mijaaz Se
Pani Pay Koi Naqsh Banaya Nahi Kabhi
Ik Baar Uski Aankhon Mein Dekhi Thi Be-Rukhi
Phir Uss K Baad Yaad Woh Aaya Nahi Kabhi
Tanhaeyon Ka Raaj Hai Dil Mein Tumhare Baad
Hum Ne Kisi Ko Iss Mein Basaya Nahi Kabhi
Tasneem G Rahey Hein Barray Hosley K Sath
...Nakamiyon Pay Shor Machaya Nahi Kabhi
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It