Awais Poetry
 

Showing posts with label Great Sad Poetry. Show all posts
Showing posts with label Great Sad Poetry. Show all posts

Iss Dharti K Sheesh Naag Ka Dunk Barra Zehreela Hai

Urdu Sad Ghazals

اس دھرتی کے شیش ناگ کا ڈنک بڑا زہریلا ہے
 صدیاں گزریں ، آسماں کا رنگ ابھی تک نیلا ہے

 میں ہوں اپنے پیار پہ قائم اُن کی رسمیں وہ جانیں
 اور ہے ذات حسینوں کی اور میرا اور قبیلہ ہے

 میرے اُس کے ہونٹ ہلیں تو کھِلیں ہزاروں پھول مگر
 کچھ تو میں چُپ رہتا ہوں، کچھ یار مرا شرمیلا ہے

 آنسو ٹپکے ہوں گے اِن پر حرف جبھی تو پھیل گئے
 رویا ہے خط لکھنے والا، جبھی تو کاغذ گیلا ہے

 میں نے کہا دو اجنبیوں کے دل کیسے مِل جاتے ہیں
پیار سے بولی اِک دیوی یہ سب بھگوان کی لِیلا ہے

 یوں ہی تو نہیں کہتا رہتا نظمیں، غزلیں، گیت قتیلؔ
 ..یہ تو کسی کی محفل تک جانے کا ایک وسیلہ ہے
Iss Dharti K Sheesh Naag Ka Dunk Barra Zehreela Hai
Sadiyaan Guzri, Aasman Ka Rung Abhi Tak Neela Hai

Mein Hoon Apne Piyar Pe Qayam Unki Rasmein Woh Jane
Aur Hai Zaat Haseeno Ki Mera Aur Qabeela Hai

Merey USS K Hont Hilen Tou Khilein Hazaron Phool Magar
Kuch To Mein Chup Rehta Hoon,Kuch Yar Mera Sharmila Hai

Aansoo Tapke Honge In Par, Harf Jabhi Tou Phail Gaey
Roya Hai Khat Likhney Wala, Jabhi Tou Kagaz Geela Hai

Mein Ne Kaha Dou Ajnabiyon K Dil Kesey Mil Jatey Hein
Piyar Se Boli Ik Devi Yeh Sab Bhagwaan Ki Leela Hai

Youn He Tou Nahi Kehta Rehta Nazmein,Ghazlein,Geet Qateel
 Yeh Tou Kisi Ki Mehfil Tak Jaaney Ka Aik Waseela Hai...


Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It 

Bata Diya Hai Tujhey Yeh Samaa Nahi Hona

Great Ghazal Collection

 بتا دیا ہے تجھے ' یہ سماں نہیں ہونا
نظر ہٹائی تو ہم نے یہاں نہیں ہونا

تجھے سمَجھنا پڑے گا بہاو کا مسلک
جو آب شار ہے اس نے کنواؑں نہیں ہونا

مجھے سراب کِیا ہے تو کر نظارہ مِرا
کہ ایسی رَیت نے پھر یوں رواں نہیں ہونا

اسی یقین میں ہر ایک ہو گیا معدوم
کہ میں نہیں ہوں وہ ، جس کا نشاں نہیں ہونا

ہم اپنی تَہہ میں بھڑکتے ہوئے سمَجھتے ہیں
کہ اِس الاو نے شاید دھواؑں نہیں ہونا

میں اپنی قدر سے آگاہ صِفر ہوں تیرا
 ... مجھے بس اتنا بتا دے ، کہاں نہیں ہونا
 
Bata Diya Hai Tujhey ' Yeh Samaan Nahi Hona
Nazar Hataiee Tou Hum Ne Yahan Nahi Hona

Tujhey Samajhna Parrey Ga Bahaao Ka Muslak
Jo Aabshaar Hai USS Ne Kunwaan Nahi Hona

Mujhe Saraab Kia Hai Tou Kar Nazara'h Mera
Ke'h Aisi Rait Ne Phir Youn Rawaan Nahi Hona

Issi Yaqeen Mein Har Aik Hogaya Ma'adoom
Ke'h Mein Nahi Hoon Woh ,Jiska Nishaan Nahi Hona

Hum Apni Teh Mein Bharrakte Hue Samajhte Hein
Ke'h Iss Alaao Ne Shayad Dhuwaan Nahi Hona

Mein Apni Qadar Se Aagha'h Sifar Hoon Tera
Mujhey Bus Itna Bata Dey Kahan Nahi Hona ...

Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Zard Mosam Ki Aziyat Bhi Uthane Ka Nahi

  
Mosam Urdu Shyri

 زرد موسم کی اذّیت بھی اُٹھانے کا نہیں
میں درختوں کی جگہ خود کو لگانے کا نہیں

اب ترے ساتھ  تعلق کی گزرگاہوں  پر
وقت مشکل ہے،مگرہاتھ چھڑانے کا نہیں

جادہء صبر مرے عشق کی زینت ٹھہرا
سومیں آنکھوں سےکوئی اشک بہانےکا نہیں

قریہ سبز سے آتی ہوئی پر کیف ہوا
طاق پر رکھا مرا دیپ بجھانے کا نہیں

میں ہدف ہوں ،مگر اس آنکھ کے پیکان کا ہوں
دیکھ  دنیا میں کسی اور نشانے کا نہیں

چل رہا تھا تو سبھی لوگ مرے بازو تھے
گر پڑا ہوں تو کوئ دوست اٹھانے کا نہیں

عشق ہے اور رگ و پے میں سمایا ہے سعید
اور یہ روگ مری جان سے جانے کا نہیں

Zard Mosam Ki Aziyat Bhi Uthaney Ka Nahi
Mein Darakhton Ki Jagah Khud Ko Laganey Ka Nahi

Ab Terey Sath Ta'alluq Ki Guzar Gaahon Par
Waqt Mushkil Hai, Magar Hath Churraney Ka Nahi

Jadha-E-Sabar Merey Ishq Ki Zeenat Thehra
So Mein Aankhon Se Koi Ashk Bahaney Ka Nahi

Qarya-E-Sabz Se Aati Hui Pur Qaif Hawa
Taaq Par Rakha Mera Deep Bujhaney Ka Nahi

Mein Hadaf Hoon Magar Us Aankh K Pekan Ka Hoon
Daikh Dunya Mein Kisi Aur Thikaney Ka Nahi

Chal Raha Tha Tou Sabhi Log Merey Bazoo Thay
Gir Parra Hoon Tou Koi Dost Uthaney Ka Nahi

Ishq Hai Aur Rag-O-Pay Mein Samaya Hai Saeed
Aur Yeh Rog Meri Jaan Se Janey Ka Nahi...


Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It  

Har Dard Ki Aagosh Mein

Best Dard Poetry

ہر درد کی آغوش میں ہے درد تمہارا
ہر درد میں تسکین کا احساس بهی تم ہو
Har Dard Ki Aagosh Mein Hai Dard Tumhara
Har Dard Mein Taskeen Ka Ehsaas Bhi Tum Ho

Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Tum Ne Uss Waqt Bay Wafai Ki

Sad Hindi Poetry

تم نے اس وقت بےوفائی کی
یقین جب آخری مقام پر تھا
Tum Ne Uss Waqt Bay Wafai Ki
Yaqeen Jab Aakhri Muqaam Par Tha

Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Ik Wohi Shakhs Mujh Ko Yaad Raha

Best Urdu Poetry

اک وہی شخص مجھے یاد رہا
جس کو سمجھا تھا بھول جاؤں گا
Ik Wohi Shakhs Mujh Ko Yaad Raha
Jisko Samjha Tha Bhool Jaon Ga

Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Khuwab Hai Ya Saraab Hai Koi

Best Khuwab Poetry

خواب ہے یا سراب ہے کوئی
یا سراپا حجاب ہے کوئی

زندگی یوں گزار دی ہم نے
اک مسلسل عذاب ہے کوئی

روز لڑتے ہیں ہم ستاروں سے
کچھ پرانا حساب ہے کوئی

جنوری کی اداس شاموں میں
لطف ہی لاجواب ہے کوئی

اُس کو دِل سے لگائے بیٹھے ہیں
وہ مقدس کتاب ہے کوئی

عشق نہ ہو تو حُسن پھیکا ہے
گویا نقلی گلاب ہے کوئی

نہ یہ بستا ہے نہ اجڑتا ہے
دل ہی خانہ خراب ہے کوئی

ہمسفر اب تو آ کے مل جاؤ
....کتنا پُر اضطراب ہے کوئی

Khuwab Hai Ya Saraab Hai Koi
Ya Sarapa Hijaab Hai Koi

Zindagi Youn Guzaar Di Hum Ne
Ik Musalsal Azaab Hai Koi

Roz Larrtey Hein Hum Sitaron Se
Kuch Purana Hisaab Hai Koi

January Ki Udaas Shaamo Mein
Lutf He Lajawaab Hai Koi

Usko Dil Se Lagaey Baithay Hein
Woh Muqaddas Kitaab Hai Koi

Ishq Na Ho Tou Husn Pheeka Hai
Goya Naqli Gulaab Hai Koi

Na Yeh Basta Hai Na Ujarrta Hai
Dil He Khana Kharaab Hai Koi

Humsafar Ab Tou Aa K Mil Jaao
Kitna Pur Iztaraab Hai Koi....


Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It 

Jo Gir Gaya Nazar Se Woh Bhaya Nahi Kabhi

Best Urdu Ghazals

ﻣﻌﯿﺎﺭ ﺍﭘﻨﺎ ﮨﻢ ﻧﮯ ﮔﺮﺍﯾﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺒﮭﯽ
ﺟﻮ ﮔﺮ ﮔﯿﺎ ﻧﻈﺮ ﺳﮯ ﻭﮦ ﺑﮭﺎﯾﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺒﮭﯽ

ﺣﺮﺹ ﻭﮨﻮﺱ ﮐﻮ ﮨﻢ ﻧﮯ ﺑﻨﺎﯾﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﺷﻌﺎﺭ
ﺍﻭﺭ ﺍﭘﻨﺎ ﺍﻋﺘﺒﺎﺭ ﮔﻨﻮﺍﯾﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺒﮭﯽ

ﮨﻢ ﺁﺷﻨﺎ ﺗﮭﮯ ﻣﻮﺟﻮﮞ ﮐﮯ ﺑﺮﮨﻢ ﻣﺰﺍﺝ ﺳﮯ
ﭘﺎﻧﯽ ﭘﮧ ﮐﻮﺋﯽ ﻧﻘﺶ ﺑﻨﺎﯾﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺒﮭﯽ

ﺍﮎ ﺑﺎﺭﺍﺱ ﮐﯽﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺩﯾﮑﮭﯽ ﺗﮭﯽﺑﮯ ﺭﺧﯽ
ﭘﮭﺮ ﺍﺱ ﮐﮯ ﺑﻌﺪ ﯾﺎﺩ ﻭﮦ ﺁﯾﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺒﮭﯽ

ﺗﻨﮩﺎﺋﯿﻮﮞ ﮐﺎ ﺭﺍﺝ ﮨﮯ ﺩﻝ ﻣﯿﮟ ﺗﻤﮩﺎﺭﮮ ﺑﻌﺪ
ﮨﻢ ﻧﮯ ﮐﺴﯽ ﮐﻮ ﺍﺱ ﻣﯿﮟ ﺑﺴﺎﯾﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺒﮭﯽ

ﺗﺴﻨﯿﻢ ﺟﯽ ﺭﮨﮯ ﮨﯿﮟ ﺑﮍﮮ ﺣﻮﺻﻠﮯ ﮐﮯ ﺳﺎﺗﮫ
ﻧﺎﮐﺎﻣﯿﻮﮞ ﭘﮧ ﺷﻮﺭ ﻣﭽﺎﯾﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺒﮭﯽ...

Mayaar Hum Ne Apna Giraya Nahi Kabhi
Jo Gir Gaya Nazar Se Woh Bhaya Nahi Kabhi

Hars-O-Hawas Ko Hum Ne Banaya Nahi Shua'ar
Aur Apna Aitbaar Ganwaya Nahi Kabhi

Hum Aashna Thay Mojon K Barhum Mijaaz Se
Pani Pay Koi Naqsh Banaya Nahi Kabhi

Ik Baar Uski Aankhon Mein Dekhi Thi Be-Rukhi
Phir Uss K Baad Yaad Woh Aaya Nahi Kabhi

Tanhaeyon Ka Raaj Hai Dil Mein Tumhare Baad
Hum Ne Kisi Ko Iss Mein Basaya Nahi Kabhi

Tasneem G Rahey Hein Barray Hosley K Sath
...Nakamiyon Pay Shor Machaya Nahi Kabhi

Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Teri Diwaar Se Oonchi Meri Diwaar Banay

Best Urdu Ghazal

دل فروشوں کے لیے کوچہ و بازار بنے
اور جانبازوں کی خاطر رسن و دار بنے

بس یہی دوڑ ہے اس دور کے انسانوں کی
تیری دیوار سے اونچی مری دیوار بنے

چھین کر غیر سے اپنوں نے مجھے قتل کیا
آپ ہی ڈھال بنے ،آپ ہی تلوار بنے

ہوگئے لوگ  اپاہچ  یہی کہتے کہتے
ابھی چلتے ہیں ذرا راہ تو ہموار بنے

مجھ کو ممنون کرم کرکے وہ فرماتے ہیں
آدمی سوچ سمجھ کر ذرا خود دار بنے

خود شناسی کے نہ ہونے سے یہی ہوتا ہے
جن کو فن کار نہ بننا تھا وہ فن کار بنے

تجھ سے کتنا ہے ہمیں پیار کچھ اندازہ کر
ہم ترے چاہنے والوں کے روادار بنے

شان و شوکت کے لیے تو ہے پریشان حفیظ
...اور میری یہ تمنا ترا  کردار  بنے
Dil Faroshon K Liye Koocha-O-Bazaar Banay
Aur Janbazo Ki Khatir Rasn-O-Daar Banay

Bus Yehi Dorr Hai Iss Dor K Insano Ki
Teri Diwaar Se Oonchi Meri Diwaar Banay

Chheen Kar Gair Se Apno Ne Mujhe Qatal Kia
Aap He Dhaal Banay , Aap He Talwaar Banay

Ho Gaey Log Apahaj Yehi Kehtey Kehtey
Abhi Chalte Hein Zara Raah Tou Hamwar Banay

Mujko Mamnoon-E-Karam Kar K Woh Farmate Hein
Aadmi Soch Samjh Kar Zara Khud-Daar Banay

Khud Shanasi K Na Honey Se Yehi Hota Hai
Jinko Funkaar Na Banna Tha Woh Funkaar Banay

Tujhse Kitna Hai Hamein Piyar Kuch Andaza Kar
Hum Terey Chahney Walon K Rawa-Daar Banay

Shan-O-Shokat K Liye Tou Hai Pareshan Hafeez
Aur Meri Yeh Tamanna  Tera Kirdaar Banay...


Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Majboor Thay Hum Uss Se Mohabbat Bhi Bohat Thi

Best Love Poetry
  
ظالم تھا وہ اور ظلم کی عادت بھی بہت تھی
مجبور تھے ہم اس سے محبت بھی بہت تھی

اس بُت کے ستم سہ کے دکھا ہی دیا ہم نے
گو اپنی طبیعت میں بغاوت بھی بہت تھی

واقف ہی نا تھا رمز محبت سے وہ ورنہ
دل کے لیے تھوڑی سی عنایت بھی بہت تھی

یوں ہی نہیں مشہور زمانہ میرا قاتل
اس شخص کو اس فن میں مہارت بھی بہت تھی

ہر شام سناتے تھے حسینوں کو غزل ہم
جب مال بہت تھا تو سخاوت بھی بہت تھی


Zalim Tha Woh Aur Zulm Ki Aadat Bhi Bohat Thi
Majboor Thay Hum Uss Se Mohabbat Bhi Bohat Thi

Uss Butt K Sitam Seh K Dikha He Diya Hum Ne
Go Apni Tabiyat Mein Bagawat Bhi Bohat Thi

Waqif He Na Tha Ramz-E-Mohabbat Se Woh Warna
Dil K Liye Thorri Si Inayat Bhi Bohat Thi

Youn He Nahi Mash-Hoor Zamana Mera Qaatil
Uss Shakhs Ko Iss Fun Mein Maharat Bhi Bohat Thi

Har Shaam Sunatey Thay Haseeno Ko Ghazal Hum
Jan Maal Bohat Tha Tou Sakhawat Bhi Bohat Thi



Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Hathon Mein Terey Gaaon Ka Naqsha Bana Hua

Best Love Ghazals

پتّھر پڑے ہوئے کہیں رستہ بنا ہوا
ہاتھوں میں تیرے گاؤں کا نقشہ بنا ہوا

آنکھوں کی آب جُو کے کنارے کسی کا عکس
پانی میں لگ رہا ہے پرندہ بنا ہوا

صحرا کی گرم دھوپ میں باغِ بہشت ہے
 تِنکوں سے تیرے ہاتھ کا پنکھا بنا ہوا

صندل کے عِطر سے تری منہدی گنُدھی ہوئی
 سونے کے تار سے مِرا سہرا بنا ہوا

یادوں سے لے رہا ہوں حِنائی مہَک کا لطف
 ٹیبل پہ رکھ کے لونگ کا قہوہ بنا ہوا

میلے میں ناچتی ہوئی جَٹّی کے رقص پر
... یاروں کے درمیان ہے جھگڑا بنا ہوا
Pathar Parrey Huey Kaheen Rasta Bana Hua
Hathon Mein Terey Gaaon Ka Naqsha Bana Hua

Aankhon Ki Aab Joo K Kinaray Kisi Ka Aks
Pani Mein Lag Raha Hai Parinda Bana Hua

Sehra Ki Garam Dhoop Mein Bagh-E-Behasht Hai
Tinko Ka Terey Hath Se Pankha Bana Hua

Sandal K Etar Se Teri Mehndi Rachi Hui
Soney K Taar Se Mera Sehra Bana Hua

Yadon Se Le Raha Haoon Hinaee Mehak Ka Lutf
Table Pe Rakhay Long Ka Qehwa Bana Hua

Mailay Mein Naachti Hui Jatti K Raqs Par
Yaaron K Darmiyan Hai Jhagrra Bana Hua...


Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Guzar Raha Hoon Magar Waqt K Iraday Se

Best Sad Poetry

گزر رہا ہوں مگر وقت کے ارادے سے
مرا وجود بندھا ہے ہوا کے دھاگے سے

کسے پکاروں بھلا کون چل کے آئے گا
یہاں پہ لوگ نظر آئے بھی تو آدھے سے

میں اِس جگہ سے کہیں اور جا نہیں سکتا
بندھا ہوا ہوں مکمل کسی کے وعدے سے

یہ چاند ٹوٹ کے قدموں میں کیوں نہیں گرتا
یہ کھینچتا ہے مجھے چاندنی کی دھاگے سے

تغیرات کی دنیا ترا قصور ہی کیا
....ترا وجود جو ممکن ہوا ارادے سے

Guzar Raha Hoon Magar Waqt K Iraday Se
Mera Wujood Bandha Hai Hawa K Dhagay Se

Kisay Pukaroon Bhala Kon Chal K Aaega
Yahan Par Log Nazar Aaey Bhi Tou Aadhey Se

Mein Iss Jagha Se Kaheen Aur Ja Nahi Sakta
Bnadha Hua Hoon Mukammal Kisi K Waday Se

Yeh Chaand Toot K Qadmon Mein Q Nahi Girta
Yeh Kheenchta Hai Mujhe Chaandni K Dhagay Se

Tagayyuraat Ki Dunya Tera Qusoor He Kia 
Tera Wujood Jo Mumkin Hua Iraday Se......



Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Sardiyon Ka Chaand Pagal Hogaya


ﮔﮭﻮﻣﺘﺎ ﭘﮭﺮﺗﺎ ﮨﮯ ﺗﻨﮩﺎ ﺭﺍﺕ ﮐﻮ
ﺳﺮﺩﯾﻮﮞ ﮐﺎ ﭼﺎﻧﺪ ﭘﺎﮔﻞ ﮨﻮ ﮔﯿﺎ

Ghoomta Phirta Hai Tanha Raat Ko
Sardiyon Ka Chaand Pagal Hogaya

Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Mein Ussay Apney Sabhi Aasaar De Kar Aagaya

Great Ghazals Collection

تیر ، نیزے ، ڈھال اور تلوار دے کر آگیا
اپنا سب کچھ ہی سپہ سالار دے کر آگیا

ہارنے کے خوف سے یہ فیصلہ کرنا پڑا
جنگ سے پہلے میں سب ہتھیار دے کر آگیا

عین ممکن ہے وہ میرا نام تک رہنے نہ دے
میں اُسے اپنے سبھی آثار دے کر آگیا

وقت نے دہرا دیا قصہ مرے اسلاف کا
اہل مکہ کو میں پھر گھر بار دے کر آگیا

اپنے حصے کی حکومت بھی اُسی کو سونپ دی
 ...میں ندیمؔ اُس کو بھرا دربار دے کر آگیا

Teer, Naizay, Dhaal Aur Talwaar De Kar Aagaya
Apna Sab Kuch He Sipa'h Salaar De Kar Aagaya

Haarney K Khof Se Yeh Faisla Karna Parra
Jung Se Pehle Mein Sab Hathyaar De Kar Aagaya

Ain Mumkin Hai Woh Mera Naam Tak Rehne Na De
Mein Ussay Apney Sabhi Aasaar De Kar Aagaya

Waqt Ne Duhra Diya Qissa Merey Aslaaf Ka
Ehl-E-Makkah Ko Mein Phir Gahr Baar De Kar Aagaya

Apne Hisaay Ki Huqoomat Bhi Ussi Ko Sonp Di
Mein Nadeem Us Ko Bhara Darbaar De Kar Aagaya..



Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Tu Mujhse Piyar Kar Zara Tabdeel Kar Mujhe

Great Love Ghazals

ویران بہت ہوں ، وصل سے تشکیل کر مجھے
تو مجھ سے پیار کر ، ذرا تبدیل کر مجھے

صحرا کی تپتی ریت سے آکر مجھے بچا
تو ٹھنڈے میٹھے پانی کی جھیل کر مجھے

ہو جائیں نہ خراب کہیں میری عادتیں
ہر حکم پر نہ اس طرح تعمیل کر مجھے

اب اس طرح سے مجھ کو ادھورا نہ چھوڑ تو
...میں ہوں تیرا وعدہ ، تو اب تکمیل کر مجھے

Veeraan Bohat Hoon, Visal Se Tashkeel Kar Mujhe
Tu Mujhse Piyar Kar Zara Tabdeel Kar Mujhe

Sehra Ki Tapti Rait Se Aakar Mujhe Bacha
Tu Thanday Meethay Pani Ki Jheel Kar Mujhe

Ho Jaen Na Kharaab Kaheen Meri Aadatein
Har Hukum Par Na Iss Tarha Ta'ameel Kar Mujhe

Ab Iss Tarha Se Mujhko Adhoora Na Chhorr Tu
Mein Hoon Tera Wada, Tou Ab Takmeel Kar Mujhe...

Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Jo Dil Se Hamara Ho Woh Ik Shakhs Kafi Hai



احباب کی لمبی قطاروں سے نہیں مطلب
جو دل سے ہمارا ہو وہ اک شخص کافی ہے
Ehbaab Ki Lambi Qataron Se Nahi Matlab
 Jo Dil Se Hamara Ho Woh Ik Shakhs Kafi Hai


Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Chaley Aana Merey Ho Kar Mein Maazi Phir Bhula Doon Ga


جفا کی آگ تھم جاۓ ,فخر ٹوٹے کبھی محسن
چلے آنا میرے ھو کر میں ماضی پھر بھلا دوں گا
Jafa Ki Aag Tham Jaey, Fakhar Tootay Kabhi Mohsin
Chaley Aana Merey Ho Kar Mein Maazi Phir Bhula Doon Ga

Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It