Awais Poetry
 

Showing posts with label Udaas Poetry. Show all posts
Showing posts with label Udaas Poetry. Show all posts

Khuwab Hai Ya Saraab Hai Koi

Best Khuwab Poetry

خواب ہے یا سراب ہے کوئی
یا سراپا حجاب ہے کوئی

زندگی یوں گزار دی ہم نے
اک مسلسل عذاب ہے کوئی

روز لڑتے ہیں ہم ستاروں سے
کچھ پرانا حساب ہے کوئی

جنوری کی اداس شاموں میں
لطف ہی لاجواب ہے کوئی

اُس کو دِل سے لگائے بیٹھے ہیں
وہ مقدس کتاب ہے کوئی

عشق نہ ہو تو حُسن پھیکا ہے
گویا نقلی گلاب ہے کوئی

نہ یہ بستا ہے نہ اجڑتا ہے
دل ہی خانہ خراب ہے کوئی

ہمسفر اب تو آ کے مل جاؤ
....کتنا پُر اضطراب ہے کوئی

Khuwab Hai Ya Saraab Hai Koi
Ya Sarapa Hijaab Hai Koi

Zindagi Youn Guzaar Di Hum Ne
Ik Musalsal Azaab Hai Koi

Roz Larrtey Hein Hum Sitaron Se
Kuch Purana Hisaab Hai Koi

January Ki Udaas Shaamo Mein
Lutf He Lajawaab Hai Koi

Usko Dil Se Lagaey Baithay Hein
Woh Muqaddas Kitaab Hai Koi

Ishq Na Ho Tou Husn Pheeka Hai
Goya Naqli Gulaab Hai Koi

Na Yeh Basta Hai Na Ujarrta Hai
Dil He Khana Kharaab Hai Koi

Humsafar Ab Tou Aa K Mil Jaao
Kitna Pur Iztaraab Hai Koi....


Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It 

Jo Gir Gaya Nazar Se Woh Bhaya Nahi Kabhi

Best Urdu Ghazals

ﻣﻌﯿﺎﺭ ﺍﭘﻨﺎ ﮨﻢ ﻧﮯ ﮔﺮﺍﯾﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺒﮭﯽ
ﺟﻮ ﮔﺮ ﮔﯿﺎ ﻧﻈﺮ ﺳﮯ ﻭﮦ ﺑﮭﺎﯾﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺒﮭﯽ

ﺣﺮﺹ ﻭﮨﻮﺱ ﮐﻮ ﮨﻢ ﻧﮯ ﺑﻨﺎﯾﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﺷﻌﺎﺭ
ﺍﻭﺭ ﺍﭘﻨﺎ ﺍﻋﺘﺒﺎﺭ ﮔﻨﻮﺍﯾﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺒﮭﯽ

ﮨﻢ ﺁﺷﻨﺎ ﺗﮭﮯ ﻣﻮﺟﻮﮞ ﮐﮯ ﺑﺮﮨﻢ ﻣﺰﺍﺝ ﺳﮯ
ﭘﺎﻧﯽ ﭘﮧ ﮐﻮﺋﯽ ﻧﻘﺶ ﺑﻨﺎﯾﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺒﮭﯽ

ﺍﮎ ﺑﺎﺭﺍﺱ ﮐﯽﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺩﯾﮑﮭﯽ ﺗﮭﯽﺑﮯ ﺭﺧﯽ
ﭘﮭﺮ ﺍﺱ ﮐﮯ ﺑﻌﺪ ﯾﺎﺩ ﻭﮦ ﺁﯾﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺒﮭﯽ

ﺗﻨﮩﺎﺋﯿﻮﮞ ﮐﺎ ﺭﺍﺝ ﮨﮯ ﺩﻝ ﻣﯿﮟ ﺗﻤﮩﺎﺭﮮ ﺑﻌﺪ
ﮨﻢ ﻧﮯ ﮐﺴﯽ ﮐﻮ ﺍﺱ ﻣﯿﮟ ﺑﺴﺎﯾﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺒﮭﯽ

ﺗﺴﻨﯿﻢ ﺟﯽ ﺭﮨﮯ ﮨﯿﮟ ﺑﮍﮮ ﺣﻮﺻﻠﮯ ﮐﮯ ﺳﺎﺗﮫ
ﻧﺎﮐﺎﻣﯿﻮﮞ ﭘﮧ ﺷﻮﺭ ﻣﭽﺎﯾﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺒﮭﯽ...

Mayaar Hum Ne Apna Giraya Nahi Kabhi
Jo Gir Gaya Nazar Se Woh Bhaya Nahi Kabhi

Hars-O-Hawas Ko Hum Ne Banaya Nahi Shua'ar
Aur Apna Aitbaar Ganwaya Nahi Kabhi

Hum Aashna Thay Mojon K Barhum Mijaaz Se
Pani Pay Koi Naqsh Banaya Nahi Kabhi

Ik Baar Uski Aankhon Mein Dekhi Thi Be-Rukhi
Phir Uss K Baad Yaad Woh Aaya Nahi Kabhi

Tanhaeyon Ka Raaj Hai Dil Mein Tumhare Baad
Hum Ne Kisi Ko Iss Mein Basaya Nahi Kabhi

Tasneem G Rahey Hein Barray Hosley K Sath
...Nakamiyon Pay Shor Machaya Nahi Kabhi

Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Teri Diwaar Se Oonchi Meri Diwaar Banay

Best Urdu Ghazal

دل فروشوں کے لیے کوچہ و بازار بنے
اور جانبازوں کی خاطر رسن و دار بنے

بس یہی دوڑ ہے اس دور کے انسانوں کی
تیری دیوار سے اونچی مری دیوار بنے

چھین کر غیر سے اپنوں نے مجھے قتل کیا
آپ ہی ڈھال بنے ،آپ ہی تلوار بنے

ہوگئے لوگ  اپاہچ  یہی کہتے کہتے
ابھی چلتے ہیں ذرا راہ تو ہموار بنے

مجھ کو ممنون کرم کرکے وہ فرماتے ہیں
آدمی سوچ سمجھ کر ذرا خود دار بنے

خود شناسی کے نہ ہونے سے یہی ہوتا ہے
جن کو فن کار نہ بننا تھا وہ فن کار بنے

تجھ سے کتنا ہے ہمیں پیار کچھ اندازہ کر
ہم ترے چاہنے والوں کے روادار بنے

شان و شوکت کے لیے تو ہے پریشان حفیظ
...اور میری یہ تمنا ترا  کردار  بنے
Dil Faroshon K Liye Koocha-O-Bazaar Banay
Aur Janbazo Ki Khatir Rasn-O-Daar Banay

Bus Yehi Dorr Hai Iss Dor K Insano Ki
Teri Diwaar Se Oonchi Meri Diwaar Banay

Chheen Kar Gair Se Apno Ne Mujhe Qatal Kia
Aap He Dhaal Banay , Aap He Talwaar Banay

Ho Gaey Log Apahaj Yehi Kehtey Kehtey
Abhi Chalte Hein Zara Raah Tou Hamwar Banay

Mujko Mamnoon-E-Karam Kar K Woh Farmate Hein
Aadmi Soch Samjh Kar Zara Khud-Daar Banay

Khud Shanasi K Na Honey Se Yehi Hota Hai
Jinko Funkaar Na Banna Tha Woh Funkaar Banay

Tujhse Kitna Hai Hamein Piyar Kuch Andaza Kar
Hum Terey Chahney Walon K Rawa-Daar Banay

Shan-O-Shokat K Liye Tou Hai Pareshan Hafeez
Aur Meri Yeh Tamanna  Tera Kirdaar Banay...


Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Woh Mujhe Bhool He Gaya Hoga

Best Yaad Poetry

وہ مجھے بھول ہی گیا ہو گا
اتنی مدت کوئی خفا نہیں رہتا

Woh Mujhe Bhool He Gaya Hoga
Itni Muddat Koi Khafa Nahi Rehta

Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Ab Koi Aarzoo Nahi Hai Baaqi


اب کوئی آرزو نہیں ہے باقی
جستجو میری آخری تم تھے

Ab Koi Aarzoo Nahi Hai Baaqi
Justujoo Meri Aakhri Tum Thay


Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Aaj Itna Udaas Hoon Nasir

Urdu Sad Poetry

آج اتنا اداس ہوں ناصر
جیسے ذلفیں جوان بیوہ کی
Aaj Itna Udaas Hoon Nasir
Jaisaey Zulfein Jawaan Baiwa’h Ki

Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It