وحشت کا اثر خواب کی تعبیر میں ہوتا
اک جاگنے والا مری تقدیر میں ہوتا
اک عالمِ خوبی ہے میسر مگر اے کاش
اس گل کا علاقہ مری جاگیر میں ہوتا
اس آہوئے رم خوردہ و خوش چشم کی خاطر
اک حلقہ خوشبو مری زنجیر میں ہوتا
مہتاب میں اک چاند سی صورت نظر آ تی
نسبت کا شرف سلسلہ میر میں ہوتا
مرتا بھی جو اس پر تو اسے مار کے رکھتا
غالب کا چلن عشق کی تقصیر میں ہوتا
اک قامتِ زیبا کا یہ دعویٰ ہے کہ وہ ہے
.....ہوتا تو مرے حرفِ گرہ گیر میں ہوتا
Wehshat Ka Asar Khuwaab Ki Taabeer Mein Hota
Ik Jaagney Wala Meri Taqdeer Mein Hota
Ik Aalim-E-Khoobi Hai Muyasser Magar Ay Kaash
Us Gul Ka Ilaaqa Meri Jageer Mein Hota
Us Aaho-E-Rum Khoorda-O-Khush Chasham Ki Khatir
Ik Halqa-E-Khushboo Meri Zanjeer Mein Hota
Mehtaab Mein Ik Chaand Si Soorat Nazar Aati
Nisbat Ka Sharaf Silsila-E-Meer Mein Hota
Marta Bhi Jo Uss Par Tou Ussay Maar K Rakhta
Ghaalib Ka Chalan Ishq Ki Tafseer Mein Hota
Ik Qaamat-E-Zaiba Ka Yeh Daawa Hai K Woh Hai
Hota Tou Merey Hurof-E-Girah-Geer Mein Hota ........