Showing posts with label New Sms. Show all posts
Showing posts with label New Sms. Show all posts
Mohabbat Goliyon Se Bo Rahey Ho
محبت گولیوں سے بو رہے ہو
وطن کا چہرہ خون سے دھو رہے ہو
گماں تم کو کہ رستہ کٹ رہا ہے
یقیں مجھکو کہ منزل کھو رہے ہو
Mohabbat Goliyon Se Bo Rahey Ho
Watan Ka Chehra Khoon Se Dho Rahey Ho
Gumaa'n Tum Ko Ke'h Rasta Kat Raha Hai
Yaqeen Mujhko Ke'h Manzil Kho Rahey Ho
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It
Aik Aansoo Nahi Hai Ronay Ko
اور کیا رہ گیا ہے ہونے کو
ایک آنسو نہیں ہے رونے کو
خواب اچھے رہیں گے اندیکھے
خاک اچھی رہے گی سونے کو
یہ مہ و سال چند باقی ہیں
اور کچھ بھی نہیں ہے کھونے کو
نارسائی کا رنج لائے ہیں
تیرے دل میں کہیں سمونے کو
چشم_نم ، چار اشک اور ادھر
داغ اک رہ گیا ہے دھونے کو
بیٹھنے کو جگہ نہیں ملتی
کیا کریں اوڑھنے بچھونے کو
تو کہیں بیٹھ اور حکم چلا
ہم تو ہیں تیرا بوجھ ڈھونے کو
یاد بھی تیری مٹ گیی دل سے
Aur Kia Reh Gaya Hai Honey Ko
Aik Aansoo Nahi Hai Roney Ko
Khuwaab Achay Rahein Gay Un Daikhey
Khaak Achi Rahey Gi Soney Ko
Yeh May Wa-Saal Chand Baqi Hein
Aur Kuch Bhi Nahi Hai Khoney Ko
Naar Saai Ka Ranj Laaey Hein
Terey Dil Mein Kaheen Samoney Ko
Chashm-E-Num , Chaar Ashk Aur Idhar
Daagh Ik Reh Gaya Hai Dhoney Ko
Baithney Ko Jaga Nahi Milti
Kia Karen Orrhney Bichoney Ko
Tu Kaheen Baith Aur Hukum Chala
Hum Tou Hein Tera Bojh Dhoney Ko
Yaad Bhi Teri Mitt Gai Dil Se
Aur Kia Reh Gaya Hai Honey Ko.....
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It
Ik Jaagney Wala Meri Taqdeer Mein Hota
وحشت کا اثر خواب کی تعبیر میں ہوتا
اک جاگنے والا مری تقدیر میں ہوتا
اک عالمِ خوبی ہے میسر مگر اے کاش
اس گل کا علاقہ مری جاگیر میں ہوتا
اس آہوئے رم خوردہ و خوش چشم کی خاطر
اک حلقہ خوشبو مری زنجیر میں ہوتا
مہتاب میں اک چاند سی صورت نظر آ تی
نسبت کا شرف سلسلہ میر میں ہوتا
مرتا بھی جو اس پر تو اسے مار کے رکھتا
غالب کا چلن عشق کی تقصیر میں ہوتا
اک قامتِ زیبا کا یہ دعویٰ ہے کہ وہ ہے
.....ہوتا تو مرے حرفِ گرہ گیر میں ہوتا
Wehshat Ka Asar Khuwaab Ki Taabeer Mein Hota
Ik Jaagney Wala Meri Taqdeer Mein Hota
Ik Aalim-E-Khoobi Hai Muyasser Magar Ay Kaash
Us Gul Ka Ilaaqa Meri Jageer Mein Hota
Us Aaho-E-Rum Khoorda-O-Khush Chasham Ki Khatir
Ik Halqa-E-Khushboo Meri Zanjeer Mein Hota
Mehtaab Mein Ik Chaand Si Soorat Nazar Aati
Nisbat Ka Sharaf Silsila-E-Meer Mein Hota
Marta Bhi Jo Uss Par Tou Ussay Maar K Rakhta
Ghaalib Ka Chalan Ishq Ki Tafseer Mein Hota
Ik Qaamat-E-Zaiba Ka Yeh Daawa Hai K Woh Hai
Hota Tou Merey Hurof-E-Girah-Geer Mein Hota ........