Showing posts with label hindi poetry. Show all posts
Showing posts with label hindi poetry. Show all posts
Khairaat Maang Lein Gay Khuda-E-Kareem Se
واعظ کا طعن سن کے، کہا اک فقیر نے
کچھ کم نہ لیں گے ہم تو بہشت نعیم سے
بخشش نہ مل سکی تو نہ ہاریں گے حوصلہ
Waaiz Ka Ta'un Sun K , Kaha Ik Faqeer Ne
Kuch Kam Na Lein Gay Hum Tou Behasht Naeem Se
Bakhshish Na Mil Saki Tou Na Haarein Ga Hosla
Khairaat Maang Lein Gay Khuda-E-Kareem Se
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It
Ab K Apney Honton Pay Khokhli Duaaein Hein
بے قرار سانسوں میں گونجتی صدائیں ہیں
اب کے اپنے ہونٹوں پہ کھوکھلی دعائیں ہیں
بے حِسی کے مارے ہیں اپنے شہر کہ سب لوگ
پاؤں سے زمیں، سر سے کھینچتے ردائیں ہیں
تیری چاہتوں نے کل خواب کچھ دکھائے تھے
آج اپنی نیندوں کو ڈھونڈتی نگاہیں ہیں
آگہی کے رستوں پر صرف زخم ملتے ہیں
اس پہ چلتے رہنے کی انگنت سزائیں ہیں
ہاں وہ پچھلے موسم تھے جن میں پھول کھلتے تھے
Beqarar Saanson Mein Goonjti Sadaein Hein
Ab K Apney Honton Pay Khokhli Duaaein Hein
Be-Hasi K Maray Hein Apne Shehar K Sab Log
Paon Se Zameen, Sar Se Khainchtey Ridaaein Hein
Teri Chahaton Ne Kal Khuwab Kuch Dikhaey Thay
Aaj Apni Neendon Ko Dhoondti Nigahein Hein
Aagahi K Rastey Par Sirf Zakhm Miltey Hein
Is Pay Chaltey Rehney Ki Un-Ginat Sazaein Hein
Han Woh Pichley Mosam Thay Jin Mein Phool Khiltey Thay
Zehar Ab Fizaaon Mein Gholti Hawaein Hein ........
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It
Kaisi Dunya Basaey Phirta Hai
ﮐﯿﺴﯽ ﺩﻧﯿﺎ ﺑﺴﺎﺋﮯ ﭘﮭﺮﺗﺎ ﮨﮯ
ﭼﮭﻮﮌ ﺍﭘﻨﮯ ﭘﺮﺍﺋﮯ ﭘﮭﺮﺗﺎ ﮨﮯ
ﺟﯿﺴﮯ ﺳﺐ ﮐﭽﮫ ﺍﺑﮭﯽ ﺳﻼﻣﺖ ﮨﻮ
ﺍﯾﺴﮯ ﺳﺐ ﮐﻮ ﺟﮕﺎﺋﮯ ﭘﮭﺮﺗﺎ ﮨﮯ
ﻭﻗﺖ ﻟﻮﭨﺎ ﮨﻮ ﺟﯿﺴﮯ ﮈﺍﮐﮯ ﻣﯿﮟ
ﺟﺐ ﺑﮭﯽ ﺩﯾﮑﮭﻮ ﮔﻨﻮﺍﺋﮯ ﭘﮭﺮﺗﺎ ﮨﮯ
ﺟﯿﺴﮯ ﺩﻧﯿﺎ ﻣﯿﮟ ﮐﭽﮫ ﺑﭽﺎ ﮨﯽ ﻧﮩﯿﮟ
ﺍﯾﺴﮯ ﺳﮕﺮﯾﭧ ﺟﻼﺋﮯ ﭘﮭﺮﺗﺎ ﮨﮯ
ﻣﺮ ﻧﮧ ﺟﺎﺋﮯ ﺗﮭﮑﻦ ﺳﮯ ﺗُﻮ صاحب
...ﺳﺮ ﭘﮧ ﻣﺎﺿﯽ ﺍُﭨﮭﺎﺋﮯ ﭘﮭﺮﺗﺎ ﮨﮯ
Kaisi Dunya Basaey Phirta Hai
Chhorr Apney Paraey Phirta Hai
Jaisay Sab Kuch Abhi Salamat Ho
Aisay Sab Ko Jagaey Phirta Hai
Waqt Loota Ho Jaisay Dakay Mein
Jab Bhi Dekho Ganwaey Phirta Hai
Jaisay Dunya Mein Kuch Bacha He Nahi
Aisay Cigrate Jalaey Phirta Hai
Mar Na Jaey Thakan Se Tu Sahib
Sar Pe Maazi Uthaey Phirta Hai ....
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It
Mohabbat Goliyon Se Bo Rahey Ho
محبت گولیوں سے بو رہے ہو
وطن کا چہرہ خون سے دھو رہے ہو
گماں تم کو کہ رستہ کٹ رہا ہے
یقیں مجھکو کہ منزل کھو رہے ہو
Mohabbat Goliyon Se Bo Rahey Ho
Watan Ka Chehra Khoon Se Dho Rahey Ho
Gumaa'n Tum Ko Ke'h Rasta Kat Raha Hai
Yaqeen Mujhko Ke'h Manzil Kho Rahey Ho
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It
Aik Aansoo Nahi Hai Ronay Ko
اور کیا رہ گیا ہے ہونے کو
ایک آنسو نہیں ہے رونے کو
خواب اچھے رہیں گے اندیکھے
خاک اچھی رہے گی سونے کو
یہ مہ و سال چند باقی ہیں
اور کچھ بھی نہیں ہے کھونے کو
نارسائی کا رنج لائے ہیں
تیرے دل میں کہیں سمونے کو
چشم_نم ، چار اشک اور ادھر
داغ اک رہ گیا ہے دھونے کو
بیٹھنے کو جگہ نہیں ملتی
کیا کریں اوڑھنے بچھونے کو
تو کہیں بیٹھ اور حکم چلا
ہم تو ہیں تیرا بوجھ ڈھونے کو
یاد بھی تیری مٹ گیی دل سے
Aur Kia Reh Gaya Hai Honey Ko
Aik Aansoo Nahi Hai Roney Ko
Khuwaab Achay Rahein Gay Un Daikhey
Khaak Achi Rahey Gi Soney Ko
Yeh May Wa-Saal Chand Baqi Hein
Aur Kuch Bhi Nahi Hai Khoney Ko
Naar Saai Ka Ranj Laaey Hein
Terey Dil Mein Kaheen Samoney Ko
Chashm-E-Num , Chaar Ashk Aur Idhar
Daagh Ik Reh Gaya Hai Dhoney Ko
Baithney Ko Jaga Nahi Milti
Kia Karen Orrhney Bichoney Ko
Tu Kaheen Baith Aur Hukum Chala
Hum Tou Hein Tera Bojh Dhoney Ko
Yaad Bhi Teri Mitt Gai Dil Se
Aur Kia Reh Gaya Hai Honey Ko.....
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It