Awais Poetry
 

Chehre par marne wale hajar mil


Chehre par marne wale hajar mil
jayenge,
Kuch log har jarurat puri kar
janenge,
Khawahish hai uski jo dil se samjhe
hame,
Hum to jindgi bhi uske naam kar
jayenge

Rakh Mere Haath Par Apne


Rakh Mere Haath Par Apne
Haath Ka Bharosa
Ke Ab Ke Hum Bichrain To Maut
Aa Jaye! 

Aapse Dur Bhala Hum Kaise reh paate


Aapse Dur Bhala Hum Kaise reh paate,
Dil Se aapko Kaise Bhula paate,

Kaash ki aap sanso ke alava aaine mai bhi base hote.
Khud ko bhi dekhte toh aap NAZAR aate. !! 

Tu To HoNThoN Se Kuchh Bhi Kahti Nahin


Tu To HoNThoN Se Kuchh Bhi Kahti Nahin
Teri AaNkhoN Mein Ik Kahaani Hai

Us Kahaani Mein Naam Hai Meraa
Mujhpe Kudrat Ki Maharbaani Hai 

Log Kehte Hain K Mera Dil Pathar Ka Hai

           Log Kehte Hain K Mera Dil Pathar Ka Hai......!!!!!!!!
        Lekin Kuch Log Aisy Bhi They Jo Ise Bhi Torr Gaye..!!  

Aik Aansoo Nahi Hai Ronay Ko

Best Aansoo Poetry

اور کیا رہ گیا ہے ہونے کو
ایک آنسو نہیں ہے رونے کو

خواب اچھے رہیں گے اندیکھے
خاک اچھی رہے گی سونے کو

یہ مہ و سال چند باقی ہیں
اور کچھ بھی نہیں ہے کھونے کو

نارسائی کا رنج لائے ہیں
تیرے دل میں کہیں سمونے کو

چشم_نم ، چار اشک اور ادھر
داغ اک رہ گیا ہے دھونے کو

بیٹھنے کو جگہ نہیں ملتی
کیا کریں اوڑھنے بچھونے کو

تو کہیں بیٹھ اور حکم چلا
ہم تو ہیں تیرا بوجھ ڈھونے کو

یاد بھی تیری مٹ گیی دل سے
....اور کیا رہ گیا ہے ہونے کو
Aur Kia Reh Gaya Hai Honey Ko
Aik Aansoo Nahi Hai Roney Ko

Khuwaab Achay Rahein Gay Un Daikhey
Khaak Achi Rahey Gi Soney Ko

Yeh May Wa-Saal Chand Baqi Hein
Aur Kuch Bhi Nahi Hai Khoney Ko

Naar Saai Ka Ranj Laaey Hein
Terey Dil Mein Kaheen Samoney Ko

Chashm-E-Num , Chaar Ashk Aur Idhar
Daagh Ik Reh Gaya Hai Dhoney Ko

Baithney Ko Jaga Nahi Milti
Kia Karen Orrhney Bichoney Ko

Tu Kaheen Baith Aur Hukum Chala
Hum Tou Hein Tera Bojh Dhoney Ko

Yaad Bhi Teri Mitt Gai Dil Se
Aur Kia Reh Gaya Hai Honey Ko.....
  
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Wafa karne se mukar gya hai dil,



Wafa karne se mukar gya hai dil,
Ab pyaar karne se darr gaya hai dil
Ab kisi sahare ki baat mat karna,
Jhute dilason se bhar gaya hai dil
Ab wo pagalpan na hain,
Kha ke dhoke itne sambhal gya h dil................

Khareed To Lena Tha Hum Ne Bhi Mehboob Apna



Khareed To Lena Tha Hum Ne Bhi Mehboob Apna_

Dil To Barra Nawab Tha Muqadar Ghareeb Nikla_

Huway Badnaam Magar Phir Bhi Sudhar Na Paaye Hum



Huway Badnaam Magar Phir Bhi Sudhar Na Paaye Hum....

Phir Wohi Shayari Phir Wohi Jagna Phir Wohi Ishq Phir Wohi Tum....!!

Jise chaha kaash woh humara hota


Jise chaha kaash woh humara hota,
______Khwaish ka bhi koi kinara hota,
Ye soch kar maine usko roka nahi,
______Door hi kyo jata agr wo hmara hota

Chal Na Sagar Kisi Anjaan Si Basti Mein Chalen




Chal Na Sagar Kisi Anjaan Si Basti Mein Chalen..!!!!

Iss Nagar Mein Toh Sabhi Hum Se Khafa Rehte Hain...!!!

Hum Bachatey Reh Gaey Deemak Se Apna Ghar

New Urdu Poetry


ہم بچاتے رہ گئے دیمک سے اپنا گھر مگر
کرسیوں کے چند کیڑے ملک سارا کھا گئے
 Hum Bachatey Reh Gaey Deemak Se Apna Ghar
Kursiyon K Chand Keerray Mulk Sara Khaa Gaey



Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Bekhabar ho Gaye h Kuch log


Bekhabar ho Gaye h Kuch log
Jo Hamari Zarurat tak Mehsus Kiya Nahi
Karte

kabhi unke chaar pehar hmaare the..
jo ek pal b ab hmko diya nahi karte..

Kabhi Kiya Karte the dher Sari Baate Humse
Ab to Khairiyat tak liya Nahi Karte.......

wo meri zindgi meri bandgi meri dillagi hai...
aur apna dil hum bar bar kisi ko diya nahi karti...

lekin unko kya maloom hum
aaj b unko har lamha yaad kiye bina

JIYA NAHI KARTE

Aik Ho Kar Bhi Hazaron Se Ulajh Parrta Hai

Great Ghazals Collection

ایک ہو کر بھی ہزاروں سے اُلجھ پڑتا ہے
عشق پیدل بھی سواروں سے اُلجھ پڑتا ہے

سازش ِ زردی ِ موسم میں نہیں گر تُو شریک
کیوں بہاروں کے اشاروں سے اُلجھ پڑتا ہے

کوئی الزام نہیں۔۔ تم سے فقط پوچھا ہے
تیر کیا خود ہی شکاروں سے اُلجھ پڑتا ہے؟

خواہش ِ گل میں تو ملتی ہے سزا عجلت کی
یونہی دامن نہیں خاروں سے اُلجھ پڑتا ہے

گاہے گاہے تجھے کیا ہوتا ہے اللہ جانے
بے سبب اپنے ہی یاروں سے اُلجھ پڑتا ہے

ایک لمحے کے لیے چاند جو اُوجھل ہو جائے
دل وہ ضدی کہ ستاروں سے اُلجھ پڑتا ہے

ظبط دریا کا بھی دیکھا ہے  صاحب ہم نے
بوجھ پڑتے ہی کناروں سے اُلجھ پڑتا ہے۔۔

Aik Ho Kar Bhi Hazaaron Se Ulajh Parrta Hai
Ishq Paidal Bhi Sawaron Se Ulajh Parrta Hai

Sazish-E-Garmiy-E-Mosam Mein Nahi Gar Tu Shareek
Kiun Baharon K Isharon Se Ulajh Parrta Hai

Koi Ilzaam Nahi Tum Se Faqat Poocha Hai
Teer Kia Khud He Shikaron Se Ulajh Parrta Hai

Khuwahish-E-Gul Mein Tou Milti Hai Saza Ujlat Ki
Youn He Daaman Nahi Khaaron Se Ulajh Parrta Hai

Gaahay Gaahay Tujhe Kia Hota Hai Allah Janey
Be-Sabab Apne He Yaaron Se Ulajh Parrta Hai

Aik Lamhay K Liye Chaand Jo Ojhal Ho Jaaye
Dil Woh Ziddi Ke'h Sitaaron Se Ulajh Parrta Hai

Zabt Dariya Ka Bhi Dekha Hai Sahib Hum Ne
Bojh Parrtay He Kinaaron Se Ulajh Parrta Hai...

Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Wo Kehti hai Suno Jana



"Wo Kehti hai Suno Jana
Mohabbat Moom Ka Ghar Hai
Tapish Bad Gumani Ki
Kahin Pighla Na De iss ko"

"Main Kehta Hoon
Jis Dil Main Zara B Badgumani Ho
Wahan Kuch Or Ho Tu Ho
Mohabbat Ho Nahi Sakti"

Wo Kehti Hai Sada Aisay Hi
Kaya tum Muj Ko Chaho Gaye
Keh Main Is Main Kami Koi Bhi
Gawara Ker Nahi Sakti"

"Main Kehta Hoon
Mohabbat Kaya Hai
Yeh Tum Nay sikhaya Hai
Mujay Tum Say Mohabbat K Siwa
Kuch Bhi Nahi Aata"


"Wo Kehti Hai
Judai Say Buht Darta Hai Mera Dil
Keh Khud ko Tum Say Hat Ker Dekhna
Mumkin Nahi Hai Ab"

Main Kehta Hoon
Yahi Khadshay Bohat Muj Ko satatay Hain
Mager Sach Hai Mohabbat Main"
Judai Saath Chalti Hai

"Wo Kehti Hai
Batao Kaya Mere Bin Ji Sako Gaye Tum
Meri Baatien,Meri Yaadien,Meri Ankhien
Bhula Do gaye?"

"Main Kehta Hoon
Kabhi iss Baat Per Socha Nahi Main Nay
Ager Ik Pal Ko B Sochon To
Saansien Ruknay Lagti Hain"


"wo Kehti Hai Tumhien Mujh Say
Mohabbat Is Qader Kyu Hai
Keh Main Ik Aam Si Larki
Tumhien Kyu Khaas Lagti Hoon"


"Main Kehta Hoon
Kabhi Khud Ko Meri Ankhon Say Tum Deikho
Meri Dewangi Kyu Hai
Yeh Kkhud He Jaan Jao Gi"

"Wo Kehti Hai
Mujay Warftgi Say Dekhtay Kyu Ho
Keh Main Khud Ko Bohat
Qeemti Mehsoos Krti Hoon"

"Main Kehta Hoon
Mata-E-Jaan Bohat Anmool Hoti Hai
Tumhien Jab Dekhta Hoon Zindagi
Mehsoos Krta Hoon"

"Wo Kehti Hai Mujay Alfaaz K Jugno Nahi Miltay
Keh Tumhien Bta SakUun
Keh Dil Main Mere
Kitni Mohabbat Hai"

"Main Kehta Hoon
Mohabbat To Niighaon Say Jhalkti Hai
Tumhari Khamosi Mujh Say
Tumhari Baat Karti Hai"

"Wo Kehti Hai
Batao Na Kis Ko Khonay Say Darte Ho
Batao Kon Hai Wo Jisay
Yeh Mosam Bulatay Hain"

"Main Kehta Hoon
Yeh Meri Shaayeri Hai Aiena Dil Ka
Zara Dekho Batao Kaya
Tumhien Is Main Nazar Aya"

"Wo Kehti Hai
Suno!!! Bohat Baatien Banatay Ho
Mager Sach Hai Yeh Baatien
Bohat Hi Shaad Rakhti Hain"

"Main Kehta Hoon
Yeh Sab Baatien Yeh Fasaany Ik Bahana Hain
Keh Pal Kuch Zindagani K
Tumhare Saath Kat Jayen
Phir Us K Baad Khamoshi Ka
Dilkash Raqs Hota Hai
Nigahein Bolti Hai Or
Lab Khamosh Rehtay Hain"

"Wo Kehti hai Suno Jana
Mohabbat Moom Ka Ghar Hai
Tapish Bad Gumani Ki
Kahin Pighla Na De iss ko"